It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Voting Started for Ghazal Contest, August, 08. within the Ghazal forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; Assalam-o-Alaikum Friends, Jiasa k aap sab jaanthey hai k aaj 10 August hai, aur aaj Ghazal Competition ki last date ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [5] |
| Notices |
| View Poll Results: Vote for your favourite Ghazal. | |||
| Ghazal No.1 | | 4 | 7.55% |
| Ghazal No.2 | | 0 | 0% |
| Ghazal No.3 | | 1 | 1.89% |
| Ghazal No.4 | | 0 | 0% |
| Ghazal No.5 | | 0 | 0% |
| Ghazal No.6 | | 2 | 3.77% |
| Ghazal No.7 | | 0 | 0% |
| Ghazal No.8 | | 6 | 11.32% |
| Ghazal No.9 | | 0 | 0% |
| Ghazal No.10 | | 0 | 0% |
| Ghazal No.11 | | 1 | 1.89% |
| Ghazal No.12 | | 10 | 18.87% |
| Ghazal No.13 | | 7 | 13.21% |
| Ghazal No.14 | | 0 | 0% |
| Ghazal No.15 | | 1 | 1.89% |
| Ghazal No.16 | | 0 | 0% |
| Ghazal No.17 | | 4 | 7.55% |
| Ghazal No.18 | | 2 | 3.77% |
| Ghazal No.19 | | 1 | 1.89% |
| Ghazal No.20 | | 0 | 0% |
| Ghazal No.21 | | 2 | 3.77% |
| Ghazal No.22 | | 0 | 0% |
| Ghazal No.23 | | 0 | 0% |
| Ghazal No.24 | | 1 | 1.89% |
| Ghazal No.25 | | 1 | 1.89% |
| Ghazal No.26 | | 0 | 0% |
| Ghazal No.27 | | 1 | 1.89% |
| Ghazal No.28 | | 1 | 1.89% |
| Ghazal No.29 | | 0 | 0% |
| Ghazal No.30 | | 0 | 0% |
| Ghazal No.31 | | 2 | 3.77% |
| Ghazal No.32 | | 4 | 7.55% |
| Ghazal No.33 | | 1 | 1.89% |
| Ghazal No.34 | | 0 | 0% |
| Ghazal No.35 | | 0 | 0% |
| Ghazal No.36 | | 1 | 1.89% |
| Voters: 53. You may not vote on this poll | |||
![]() |
| | Thread Tools |
|
#1
| |||||
| |||||
| Assalam-o-Alaikum Friends, ![]() Jiasa k aap sab jaanthey hai k aaj 10 August hai, aur aaj Ghazal Competition ki last date thi and ab poll laga diya jaaye ga, tho aap sab log apne pasandeeda Ghazal k liye vote karein. Winner ka Elaan 17 August ko kiya jaaye ga. ![]() Mujhey bohut Khushi ho rahi hai k iss dafa members ki bohut hi bar poor participation rahi aur mein umeed kartha hoon k next time bhi aap aise hi participate karein gey. ![]() Quote:
ATTENTION:
ALLAH Nigehbaan and Good Luck to all the participants.
__________________ Ham Un Se Hat K Chalthey Hai Jo Rasthey Aam Ho Jaayein. Last edited by Bigb; 08-10-2008 at 01:07 PM. |
| The Following 2 Users Say Thank You to Bigb For This Useful Post: | ||
Mayyaa (08-13-2008), saharey2020 (08-10-2008) | ||
|
#2
| |||||
| |||||
| Ghazal No. 1 Ab teri yaad say wehshat naheen hoti mujh ko Zakham khulney se aziyat naheen hoti mujh ko Ab koi aaye chala jaye main khush rehta hoon Ab kisi shakhs ki aadat naheen hoti mujh ko Aesa badla hoon teray sheher ka paani pi kar Jhoot boloon to nidaamat naheen hoti mujh ko Main ne bhi ki hey mohabbat, so kisi ki khatir Koi marta hai to hairat naheen hoti mujh ko Itna masroof hoon jeenay ki hawas main yaaro Saans leney ki bhi fursat naheen hoti mujh ko Ghazal No.2 "NA LIKHNA" khat likhna aur khat k nechay naam na likhna dil likhna aur dil koi peghaam na likhna khoob adaa hai yeh taqdeer k katib ki ehal e wafa ki kismat mein araam na likhna likhnay walo! shouq se likhna piyar k qissay lekin inn afsaano ka anjaam na likhna inn ki kismat mein hai hansna aur hansana inn phoolon k liye khazaan ki shaam na likhna kal uss ne paighaam yeh mujh ko bhaija tha geet tow likhna inn mein mera naam na likhna NASIR! husn ko lafzoon se majrooh na karna zulfoon ko barsaat, laboon ko jaam na likhna (HAKEEM WALLIUREHMAN NASIR ) Ghazal No.3 لطف وہ عشق میں پائے ھیں کہ جی جانتا ھے رنج بھی ایسے اٹھائے ھیں کہ جی جانتا ھے انہی قدموں نے تمھارے انہی قدموں کی قسم خاک میں اتنی ملائے ھیں کہ جی جانتا ھے جو زمانے کے ستم ھیں ، وہ زمانہ جانے تو نے دل اتنے ستائے ھیں کہ جی جانتا ھے مسکراتے ھوئے وہ مجمعء اغیار کے ساتھ آج یوں بزم میں آئے ھیں کہ جی جانتا ھے سادگی، بانکپن، اغماض، شرارت، شوخی تو نے انداز وہ پائے ھیں کہ جی جانتا ھے کعبہ و دیر میں پتھرا گئیں دونوں آنکھیں اس قدر اپنے پرائے ھیں کہ جی جانتا ھے داغ_وارفتہ کو ھم آج تیرے کوچے سے اس طرح کھینچ کے لائے ھیں کہ جی جانتا ھ Ghazal No.4 zaKhm-e-tanhaa_ii me.n Khushbuu-e-hinaa kisakii thii saayaa diivaar pe meraa thaa sadaa kisakii thii uskii raftaar se lipaTii rahii merii aa.Nkhe.n us ne mu.D kar bhii na dekhaa ki vafaa kis kii thii vaqt kii tarah dabe paa.Nv ye kaun aayaa hai mai.n a.Ndheraa jise samajhaa vo qabaa kis kii thii aa.Nsuo.n se hii sahii bhar gayaa daaman meraa haath to mai.n ne uThaaye the duaa kisakii thii merii aaho.n kii zabaa.n koii samajhataa kaise zindagii itanii dukhii mere sivaa kisakii thii aag se dostii us kii thii jalaa ghar meraa dii ga_ii kis ko sazaa aur Khataa kisakii thii mai.n ne biinaa_iyaa.N bo kar bhii a.ndhere kaaTe kis ke bas me.n thii zamii.n abr-o-havaa kis kii thii chho.D dii kis liye tuu ne "Muzaffar" duniyaa justjuu sii tujhe har vaqt bataa kisakii thii Ghazal No.5 Mansoob thay jo laug meri zindagi k sath Aksar wohi milay hain barri bay rukhi k sath Yun tau main hans parra hoon tumharay liye magar Kitnay sitaray toot parray hain ik hansi k sath Fursat milay tau apna girebaan bhi dekh lay Aey dost yun na khel meri bay bassi k sath Majbooriyon ki baat chali tau maey kahan Hum ne piya hai zehar bhi aksar khushi k sath Chehray badal badal k mujhe mil rahay hain laug Itna bura sulook meri saadgi k sath? Ik sajda-e-khuloos ki qeemat fizaa-e-khild Ya rab mazaq na kar meri bandagi k sath MOHSIN karam ki laey bhi ho jiss mein khuloos bhi Mujh ko ghazab ka piyar hai us dushmani k sath.......!!! |
| The Following User Says Thank You to Bigb For This Useful Post: | ||
saharey2020 (08-10-2008) | ||
|
#3
| |||||
| |||||
| Ghazal No.6 kis kis ko batayen ge judaa段i ka sabab ham Ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa Aa phir se mujhe chhoR ke jaane ke liye aa Pahle se maraasim na sahii phir bhii kabhii tau Rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa Kis kis ko bataayeNge judaa段i kaa sabab ham Tuu mujh se Khafaa hai to zamaane ke liye aa Kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh Tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa Ek umr se huuN lazzat-e-giriyaa se bhii mahruum Ai raahat-e-jaaN mujh ko rulaane ke liye aa Ab tak dil-e-Khush-feh知 ko tujh se haiN ummiideN Ye aaKhrii shammeN bhii bujhaane ke liye aa Ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa Aa phir se mujhe chhoR ke jaane ke liye aa Pehle se maraasim na sahii phir bhii kabhii tau Rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa Kis kis ko bataayeNge judaa段i kaa sabab ham Tuu mujh se Khafaa hai to zamaane ke liye aa Kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh Tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa Ek umr se huuN lazzat-e-giriyaa se bhii mahruum Ai raahat-e-jaaN mujh ko rulaane ke liye aa Ab tak dil-e-Khush-feh知 ko tujh se haiN ummiideN Ye aaKhrii shammeN bhii bujhaane ke liye aa Ghazal No. 7 Apne Hisse mein tu bas Itnii Zahanat rekh Lii Dhoop mein baith gye baruff Amanat rekh Lii Rasta bhool gye hain tu taejjub kaiisa Ghar Se nikle tu irradon mein khayant rekh Lii Faisala Jab kissi Zalim ke karrum Per Thehra Jisim tu de diyya sansoon ki amant rekh Lii Hakkam-e-Waqt Riayya ke lye Ibbrat Haii TaaJ rekha Haii Sar per Koi Laenat rekh Lii Uss Ke Jo Teer khatta The wo aiise Lottay Doshmanii mein bhi Zafar hum ne amanat rekh Lii Ghazal No.8 ![]() Ghazal No. 9 Tujhe ishq ho khuda kare, Koi tujhko us se juda kare, Tere hont hansna bhool jayen, Teri aankh purnam raha kare, Usay dekh ke tu ruk pare, Woh nazar jhuka ke chal pare, Tujhe hijar ki woh jhaari lagay, Tu har pal milan ki dua kare, Tere khuwab bikhrain toot kar, Tu kirchi kirchi chuna kare, Tu gali gali phira kare, Tu nagar nagar sada kare, Tujhe ishq ho phir yakeen ho, Usay tasbion per parha kare, Main kahoon ishq dhong hai, Tu nahi nahi kaha kare. Ghazal No.10 abb tak noor-o-nikhat-o-rang-o-sadaa kahoon main tujhy choo sakoon to khudaa jaany kiyaa kahoon lafzon se unko pyaar hain mafhoom se mujhy woh gul kahain jissy, main tera naqsh-e-paa kahoon abb justju hey teri jafaa kay javaaz kee jee chaahta he tujhko wafa aashna kahoon sirf iss liy k ishq issi ka zahoor hey main tery husn ko kabhi saboot-e-wafa kahoon tu chall diya to kitny haqaaiq badal gaye najm-e-sehar ko marqad-e-shab ka diyaa karoon kiya jabber hay ke butt ko kabhi kahanaa pary khuda woh hay khuda to mery khuda tujh ko kiya kahoon jab mery moonh main meri zubaan hay to kiyoun na main jo kuch kahoon yaqeen se kahoon barmala kahoon kiya jaany kiss safar pe ravaan hoon azzal se main har inteha ko aik nayee ibtedaa kahoon ho kiyoun na mujy apny mazaaq-e-sukhan pe naaz gaalib ko kaainaat-e-sukhan kaa khudaa kahoon AHMED NADEEM QASMI |
| The Following User Says Thank You to Bigb For This Useful Post: | ||
saharey2020 (08-10-2008) | ||
|
#4
| |||||
| |||||
| Ghazal No.11 jabh seena ghum say bojhal ho aur yaad kisi ki ati ho tab kamre main band ho jana aur chupkay chupkay ro lena jabh ankhain baghi h o jaen aur yaad main meri bhar aen phir khud ko dhoka mat dena aur chupkay chupkay ro lena jabh palkain karb say mondi hon aur sabh samghte tum sote ho tab mun pay takia rakh lena aur chupkay chupkay ro lena ye duniya zalim duniya hai, ye baat bohat pehlai ghi tum samne sab kay chup rehna aur chupkay chupkay ro lena *jabh barish chehra dho dale aur ashk bhi bundain laGte hon woh lamha harghiz mat khona aur chupkay chupkay ro lena* Ghazal No.12 "Muhabbaton Ka Pata Chalay Ga" Hadood e jaan say guzar howa, to muhabbaton ka pata chalay ga muhabbaton ki nazar howa, to muhabbaton ka pata chalay ga wafa ka poda shajar howa, to muhabbaton ka pata chalay ga naseeb us ka samar howa, to muhabbaton ka pata chalay ga abhi to phirtay ho doston main, aziz koi juda nahin hai koi idher say udher howa, to muhabbaton ka pata chalay ga ye Khushnaseebi hai shehar bhar main, tumhara dushman nahin hai koi kahbi kisi ka joor howa, to muhabbaton ka pata chalay ga ye fasla sa abhi talak, jo hamaray dono k darmiyan hai ye fasla mukhtasir howa, to muhabbaton ka pata chalay ga muhabbaton main to pathar ko bhi, moom howay suna hai laikin tumharay dil pay asar howa, to muhabbaton ka pata chalay ga jo jis ki khatir zamanay bhar ko, bana rahay ho tum apna dushman wohi agar na apna howa, to muhabbaton ka pata chalay ga Ghazal No. 13 Ghazal No.14 magroor hi sahi mujhay achaa bouth laga wo ajnabi tu thaa magar apna bouth laga rootha howa thaa hans tu para mujko dekh kar |