It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on A Tribute To Ahmad faraz.....A Legend Of Urdu Poetry!!! within the Ghazal forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; tuu paas bhii ho to dil beqaraar apanaa hai ke ham ko teraa nahii.n intazaar apanaa hai mile ko_ii bhii ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [2] |
|
#41
| |||||
| |||||
| tuu paas bhii ho to dil beqaraar apanaa hai ke ham ko teraa nahii.n intazaar apanaa hai mile ko_ii bhii teraa zikr chhe.D dete hai.n ke jaise saaraa jahaa.N raaz_daar apanaa hai vo duur ho to bajaa tark-e-dostii kaa Khayaal vo saamane ho to kab iKhtiyaar apanaa hai zamaane bhar ke dukho.n ko lagaa liyaa dil se is aasare pe ke ik Gam_gusaar apanaa hai “Faraz” raahat-e-jaa.N bhii vahii hai kyaa kiije vo jis ke haath se siinaa_fiGaar apanaa hai …!!
__________________ ![]() |
| The Following 4 Users Say Thank You to mFaraz For This Useful Post: | ||
Abr-e-guraizaN (08-27-2008), Bigb (08-27-2008), Naveed Hassan Joiya (08-28-2008), sab_ka_pyara (08-27-2008) | ||
|
#42
| |||||
| |||||
| Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hain So us ke shehar mein kuch din thehar ke dekhtay hain Suna hai rabt hai us ko kharaab haloon se So apne aap ko barbaad kar ke dekhtay hain Suna hai dard ki ghaahak hai chashm-e-naaz us ki So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhtay hain Suna hai us ko bhi hai shair-o-shaeri se shaguf So hum bhi moujazzay apne hunar ke dekhtay hain Suna hai bolay tu batoon se phool jhartay hain Yeh baat hai tu chalo baat kar ke dekhtay hain Suna hai raat ussay chaand takta rehta hai Sitaaray baam-e-falak se uttar ke dekhtay hain Suna hai din ko ussay titleyaan sataati hain Suna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhtay hain Suna hai hashar hain us ki ghazaal si ankhain Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain Suna hai raat se barh kar hain kaaklain us ki Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhtay hain Suna hai us ki seyaah chashmagi qayaamat hai So us ki surma farosh aah bhar ke dekhtay hain Suna hai us ke laboon se gulaab jaltay hain So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain suna hai aaenaa tamsaal hai jabeen us ki Jo saada dil hain ussay ban sanwar ke dekhtay hain Suna hai jab se hamaayal hain us ki gardan mein Mizaaj aur hi laalo-gohar ke dekhtay hain Suna hai chashm-e-tassavur se dasht-e-imkaan mein Pallang zaweyey us ki kamar ke dekhtay hain Suna hai us ke badan ki taarash aisi hai Ke phool apni qubaayain qattar ke dekhtay hain Bas ek nigaah se lut’ta hai qaafila dil ka So reharwaan-e-tamanna bhi dar ke dekhtay hain Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht Makeen idhar ke bhi jalway udhar ke bhi dekhtay hain Rukay tu gardishain us ka tawwaaf karti hain Chalay tu us ko zamaany thehar ke dekhtay hain |
| The Following 4 Users Say Thank You to mFaraz For This Useful Post: | ||
Abr-e-guraizaN (08-27-2008), Bigb (08-27-2008), Naveed Hassan Joiya (08-28-2008), sab_ka_pyara (08-27-2008) | ||
|
#43
| |||||
| |||||
| ab ke ham bichhade to shaayad kabhii Khvaabon mein milen jis tarah suukhe hue phuul kitaabon mein milen Dhuundh ujade hue logon mein vafaa ke motii ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon mein milen tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa donon insaan hain to kyoun itane hijaabon mein milen Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar mein shaamil kar lo nashaa badataa hai sharabein jo sharaabon mein milen aaj ham daar pe khenche gaye jin baaton par kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabon mein milen ab na vo main huun, na tu hai, na vo maazii hai `Faraaz’, jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon mein milen |
| The Following 3 Users Say Thank You to mFaraz For This Useful Post: | ||
|
#44
| |||||
| |||||
| A TRIBUTE TO AHMED FARAZ Abb uss k shehr mai thhehrain k kuch kar jayain............ Ahmed Faraz aaj hamm mai nahi rahey. magar apne khubsurat kalam se jo mohabbatain aur yadain hamare liye chhorh gaye hain, wo dunya e urdu adab mai rehti dunya tak yaad rakkhe jayaingey. aisey laug marte nahee'n hai bal k boht barhi satah par barhi shaan se jeete hain. laug unn k kalam ko aur unn ki collections ko apne paas mehfooz rakhte hain. raat ko bistar par apne takio'n k niche rakhte hain. unn ka kalam kisi bhi dill k darvaze mai rukawat nahi banta. unki mohabbatain khushbuo'n ki tarah laugon k dilon ko mehkati hain. wo aansuo'n ko mita kar muskurahatain aur nafraton ko bhula kar mohabbatain bikhairne aur phelane wala shayar tha. ishq/mohabbat/pyar/lagan/wafa/ye sarey jazbe Faraz k paas aa kar sar nigoo'n ho jate hain, thhehr jate hain. Aisa shayar sadio'n mai paida hota hai. Faraz sab subho ki kirno'n ki tarah bhi thai aur sham k sitaron ki tarah bhi, wo din mai suraj thai tau raat mai chand ki tarah chamkte thai, sham k pehle sitarey se raat AAkhri tarey tak urdu adab k liye roshni ki tarah thai wo sadi k nahee'n sadion k mohabbato'n k shayar thai, unn k jane sey dunya e urdu yateem ho gayee hai. par jo apne pichey jo khazana aur jharna chhorh gayehain uss chashma e aab se rehti dunya tak laug faiz utthate rahengey. wo bazahir to hamain nahee milenge...... ab k hamm bichhre to shayad kabhi khabo'n mai miley...... par har kisi k khabo'n mai haqiqat ban kar milte hi rahengey. unn k liye chand alfaz koi maani nahi rakhte par jo khala chhorh gaye hain unhe tribute de kar kuchh to bhara ja sakta hai. unki aik ghazal haazir hai. mujhe ye aizaaz haasil hai k mai unkey mushairon mai gaya hoon aur bilmushafa mulaqat bhi rahi hai. aur unn shohra e aafaq nazm Faraz aao sitare safar k dekhte hain..... pehli baar hamarey saamne hi parhi thi Allah paak unko gareek e rehmat karey unki nekian qubool karay unke gunah muaf karey Aamin Taalib e dua PEHCHAN kia aise kam sukhan se koi guftagu karey jo mustakil sakoot se dil ko lahoo karey ab tau hamain bhi tark e marasim ka dukh nahee par dil ye chahta hai k aagaz too karey tere bagair bhi to ghanimat hai zindagi khudd ko ganwa k kaun teri justajoo karey ab to ye aarzoo hai k wo zakhm khayain ta zindagi ye dil na koi aarzoo karey tujhko bhula k dil hai wo sharminda e nazar ab koi hadsa hi terey rubaroo karey chup chap apni aag mai jalte raho FARAZ dunya to arz e haal se be aabroo karey
__________________ ALLAH TA'ALA TAMAM MUSALMANO KI AUR PAKISTAN KI HIFAZAT FARMAYE AAMIN Last edited by Abr-e-guraizaN; 08-27-2008 at 02:00 PM. |
| The Following 5 Users Say Thank You to PEHCHAN For This Useful Post: | ||
Abr-e-guraizaN (08-27-2008), Bigb (08-27-2008), Mayyaa (08-27-2008), Naveed Hassan Joiya (08-27-2008), sab_ka_pyara (08-27-2008) | ||
|
#45
| |||||
| |||||
| har tamashai faqat sahil se manzar dekhta kaun dariya ko ulatata kaun gauhar dekhta wo to duniya ko meri divangi khush a gai tere hathon main vagarna pahala patthar dekhta ankh main ansu jare the par sada tujh ko na di is tavaqqo par ki shayad tu palat kar dekhta meri qismat ki lakirain mere hathon main na thin tere mathe par koi mera muqaddar dekhta zindagi phaili hui thi sham-e-hijran ki tarah kis ko itana hausala tha kaun ji kar dekhta dubane vala tha aur sahil pe cheharon ka hujum pal ki mohalat thi main kis ko ankh bhar ke dekhta tu bhi dil ko ik lahu ki bond samajha hai 'Faraz' ankh gar hoti to qatre main samandar dekhta.....
__________________ ![]() Last edited by Mayyaa; 08-27-2008 at 11:36 AM. |
| The Following 4 Users Say Thank You to Mayyaa For This Useful Post: | ||
Abr-e-guraizaN (08-27-2008), Bigb (08-27-2008), Naveed Hassan Joiya (08-28-2008), sab_ka_pyara (08-27-2008) | ||
|
#46
| |||||
| |||||
| dost ban kar bhii nahiin saath nibhane wala vahii andaaz hai zaalim kaa zamaanevaalaa ab ise log samajhate hain giraftaar meraa saKht nadiim hai mujhe daam main laanevaalaa kyaa kahain kitane maraasim the hamaare is se wo jo ik shaKhs hai monh pher ke jaanevaalaa tere hote hue aa jaatii thii saarii duniyaa aaj tanhaa hon to koii nahiin aanevaalaa muntazir kis kaa hon TuuTii huii dahaliiz pe main kaun aayegaa yahaan kaun hai aanevaalaa main ne dekhaa hai bahaaron main chaman ko jalate hai koii Khvaab kii taabiir bataanevaalaa kyaa Khabar thii jo merii jaan main ghulaa hai itanaa hai vahii mujh ko sar-e-daar bhii laane vaalaa tum taqalluf ko bhii iKhalaas samajhate ho 'Faraz' dost hotaa nahiin har haath milaanevaalaa |
| The Following 4 Users Say Thank You to Mayyaa For This Useful Post: | ||
Abr-e-guraizaN (08-27-2008), Bigb (08-27-2008), Naveed Hassan Joiya (08-28-2008), sab_ka_pyara (08-27-2008) | ||
|
#47
| |||||
| |||||
| kuch muhtasibon k khilwat main kuch waiz k ghar jati hai ham bada-kashon k hise ko ab jam main kam kam ati hai yun arz-o-talab se kab ai dil patthar-dil pani hote hain tum lakh raza k khu dalo kab khu-e-sitamgar jati hai bedad-garon ki basti hai yan dad kahan fariyad kahan sar phorti phirti hai nadan fariyad jo dar dar jati hai han ji k zayan k ham ko bhi tashwish hai lekin kya kjiye har rah jo udhar ko jati hai maqtal se guzar kar jati hai ab kucha-e-dilbar ka rah-rau rahzan bhi bane to bat bane pahre se udu talte hi nahin aur rat barabar jati hai ham ahal-e-qafas tanha bhi nahin har roz nasim-e-subah-e-watan yadon se muattar ati hai ashkon se munawwar jati hai |