It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here![]() |
|
#1
| ||||
| ||||
| shabaab aayaa kisii but par fidaa hone kaa vaqt aayaa merii duniyaa me.n ba.nde ke Khudaa hone kaa vaqt aayaa u.nhe.n dekhaa to zaahid ne kahaa iimaan kii ye hai ki ab i.nsaan ko sajadaa-ravaa hone kaa vaqt aayaa takallum kii Khaamoshii kah rahii hai harf-e-matalab se ki ashk-aamez nazaro.n se adaa hone kaa vaqt aayaa Khudaa jaane ye hai auj-e-yaqii.n yaa pastii-e-himmat Khudaa se kah rahaa huu.N naaKhudaa hone kaa vaqt aayaa hame.n bhii aa pa.Daa hai dosto.n se kaam kuchh yaanii hamaare dosto.n ke bevafaa hone kaa vaqt aayaa
__________________ (¨`·.·´¨) `·.¸(¨`·.·´¨) Keep (¨`·.·´¨)¸.·´ Smiling! `·.¸.·´ ARSHAD |
| Sponsored Links |