It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on "sab Ko Dil Ke Dagh Dikhaye Ik Tujhi Ko Dikha Na Sake" within the Ghazal forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; "SAB KO DIL KE DAGH DIKHAYE IK TUJHI KO DIKHA NA SAKE" sab ko dil ke dagh dikhaye ik tujhi ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| "SAB KO DIL KE DAGH DIKHAYE IK TUJHI KO DIKHA NA SAKE" sab ko dil ke dagh dikhaye ik tujhi ko dikha na sake tera daman door nahin tha,haath humi phela na sake tu aye dost kahan le aaya chehra ye khursheed jamal seenay main abad kerain gay,aankhon main to sama na sake na tujh se kuch hum ko nisbat,na tujh ko kuch hum se kaam hum ko ye maloom tha laikin dil ko ye samjha na sake ab tujh se kis munh se keh dain saat samander paar na ja paich ki ik deewar bhi hum to phand na paye dha na sake man papi ki ujri kheti sookhi ki sookhi hi rahi umday badal,gurjay badal,boondain do bersa na sake
__________________ Sara Shaher Hua Tha Jis k Jaanazay Main Shareek... Tanhaiiyun k Khoof Se Wo Shaks Mar Gaya.... |
|
#2
| |||||
| |||||
| ab tujh se kis munh se keh dain saat samander paar na ja paich ki ik deewar bhi hum to phand na paye dha na sake wah..... nice one sharing..... keep it up |
|
#3
| |||||
| |||||
| "KUCH YE KE MUD'DATON SE HAM BHI NAHIN ROYE THAY" kuch ye ke mud'daton se hum bhi nahin roye thay kuch zehar main bujha tha ehbab ka dilasa phir yun hua ke sawan aankhon main aa basay thay phir yun hua ke jesay dil bhi tha aabla sa ab sach kahain to yaro hum ko khaber nahi thi ban jaye ga qayamat ik waqia zara sa taiwer thay be rukhi ke andaz dosti ke wo ajnabi tha laikin lagta tha aashna sa hum dasht thay ke dariya hum zehar thay ke amrat nahaq tha zo'am hum jab wo nahin tha piyasa hum ne bhi us ko dekha kal shaam it'tifaqan apna bhi haal hai ab loga FARAZ ka sa
__________________ Sara Shaher Hua Tha Jis k Jaanazay Main Shareek... Tanhaiiyun k Khoof Se Wo Shaks Mar Gaya.... |
|
#5
| |||||
| |||||
| Quote:
thanks.............. .............
__________________ Sara Shaher Hua Tha Jis k Jaanazay Main Shareek... Tanhaiiyun k Khoof Se Wo Shaks Mar Gaya.... |
|
#6
| |||||
| |||||
| zindagii yuu.N hu_ii basar tanhaa qaafilaa saath aur safar tanhaa apane saaye se chau.Nk jaate hai.n umr guzarii hai is qadar tanhaaa raat bhar bolate hai.n sannaaTe raat kaaTe ko_ii kidhar tanhaa din guzarataa nahii.n hai logo.n me.n raat hotii nahii.n basar tanhaa hamane daravaze tak to dekhaa thaa phir na jaane gaye kidhar tanhaa
__________________ Sara Shaher Hua Tha Jis k Jaanazay Main Shareek... Tanhaiiyun k Khoof Se Wo Shaks Mar Gaya.... |
|
#7
| |||||
| |||||
| aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa vo shaKhs ek shaam meN kitnaa badal gayaa ! kuch din to meraa aks rahaa aaiine pe naqsh phir yuN hu'aa ke Khud meraa chehraa badal gayaa jab apne apne haal pe ham tum na rah sake to kyaa hu'aa jo hamse zamaanaa badal gayaa qadmoN tale jo ret bichii thii vo chal paRii us ne chuRaayaa haath to sehraa badal gayaa ko'ii bhii chiiz apnii jagah par nahiiN rahii jaate hi ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa ! ek sar-khushii kii mauj ne kaisaa kiyaa kamaal vo be-niyaaz, saare kaa saaraa badal gayaa uThTh kar chalaa gayaa ko'ii vaqfe ke darmiyaaN pardaa uThThaa to saaraa tamaashaa badal gayaa hairat se saare lafz use dekhte rahe baatoN meN apnii baat ko kaisaa badal gayaa kahne ko ek seh'n meN diivaar hii banii ghar kii fizaa, makaaN kaa naqshaa badal gayaa shaayed vafaa ke khel se uktaa gayaa thaa vo manzil ke paas aa ke jo rastaa badal gayaa qaayem kisii bhii haal pe duniyaa nahiiN rahii taa'biir kho gayii, kabhii sapnaa badal gayaa manzar kaa rang asl meN saayaa thaa rang kaa jis ne use jidhar se bhii dekhaa badal gayaa andar ke mausamoN kii Khabar us kii ho gayii us nau-bahaar-e-naaz kaa chehraa badal gayaa aaNkhoN meN jitne ashq the jugnuu se ban gaye vo muskuraayaa aur merii duniyaa badal gayaa apnii galii meN apnaa hii ghar dhhuNdhtee haiN log "Amjad" ye kaun shah'r kaa naqshaa badal gayaa
__________________ Sara Shaher Hua Tha Jis k Jaanazay Main Shareek... Tanhaiiyun k Khoof Se Wo Shaks Mar Gaya.... |
|
#8
| |||||
| |||||
| bohat khooooob....very very nice sharing.... keep it up.......... |
|
#10
| |||||
| |||||
| Dil k Sannatoun Main Rehnay Walay Tanha Tum He Nahi Tanhaie Say Batain Kerney Walay Tanha Tum He Nahi Is Ishq Nay Berbaad Kiya Hai her Shaks Ko, Is Ishq Main Bikhernay Walay Tanha Tum he Nahi Kehnay Ko To Faqat aik Dil He Tota Hai, Apna Sub Kuch Lutanay Walay Tanha Tum He Nahi, Hasntey Huway Chehrey Hain Yahan Sub K, Derd Yun Chupanay Walay Tanha Tum He Nahi Shab_E_Tanhaie Ki Dastaan Aik See Hai Sub ki Andheroon Main Rehnay Walay Tanha Tum he Nahi Aisa Lagta Hay Aik Saza Ho Zindagi Meri, Is Qaid Main Rehnay Walay Tanha Tum He Nahi, Is Sheher Main Aur Bhe Dewanay Hain Adnan... DER DER Bhatakney Walau Tanha Tum He Nahi..
__________________ Sara Shaher Hua Tha Jis k Jaanazay Main Shareek... Tanhaiiyun k Khoof Se Wo Shaks Mar Gaya.... |