It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on polling: Ghazal contest Of November 07 within the Ghazal forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; Asalam O Alikum Friends Aj Ghazal Contest ki polling start ho raye haii Polling ki last date 30 November haii ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [1] |
| Notices |
| View Poll Results: cast your vote | |||
| 1 | | 2 | 3.77% |
| 2 | | 1 | 1.89% |
| 3 | | 5 | 9.43% |
| 4 | | 10 | 18.87% |
| 5 | | 12 | 22.64% |
| 6 | | 0 | 0% |
| 7 | | 3 | 5.66% |
| 8 | | 1 | 1.89% |
| 9 | | 2 | 3.77% |
| 10 | | 3 | 5.66% |
| 11 | | 0 | 0% |
| 12 | | 1 | 1.89% |
| 13 | | 1 | 1.89% |
| 14 | | 5 | 9.43% |
| 15 | | 0 | 0% |
| 16 | | 0 | 0% |
| 17 | | 0 | 0% |
| 18 | | 0 | 0% |
| 19 | | 2 | 3.77% |
| 20 | | 0 | 0% |
| 21 | | 0 | 0% |
| 22 | | 2 | 3.77% |
| 23 | | 1 | 1.89% |
| 24 | | 0 | 0% |
| 25 | | 2 | 3.77% |
| Voters: 53. You may not vote on this poll | |||
![]() |
| | LinkBack | Thread Tools |
|
#1
| |||||
| |||||
Asalam O Alikum Friends ![]() ![]() Aj Ghazal Contest ki polling start ho raye haii Polling ki last date 30 November haii So apni pasand ki ghazal ko vote karye ![]() Regards SOS MODS ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() |
|
#2
| |||||
| |||||
| Hallagulla ![]() ![]() sOs![]() ![]() Hallagulla![]() ![]() 1# zeename Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Bankar Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki Tarah Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Bankar Meri Jaagi Huyi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Bankar Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai Jo Sheron Ki Tarah Meray Hontoon Pay Machalta Hai Jo Naghma Bankar Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak Rouh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Bankar Mera Kya Haal Hai Yeh Aakay Kabhi dekh To Lay Jee Rahi Hoon Teri Bhoola Hua Vada Bankar Dhoup Main Kho Gaya Woh Haath Chhura Kar Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Bankar Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker Hallagulla ![]() ![]() sOs![]() ![]() Hallagulla![]() ![]() chupake chupake raat din aa.Nsuu bahanaa yaad hai ham ko ab tak aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai baahazaaraa.N iztiraab-o-sad-hazaaraa.N ishtiyaaq tujhase vo pahale pahal dil kaa lagaanaa yaad hai tujhase milate hii vo bebaak ho jaanaa meraa aur teraa daato.n me.n vo u.Ngalii dabaanaa yaad hai khii.nch lenaa vo meraa parde kaa konaa daffaatan aur dupaTTe se teraa vo muu.Nh chhupaanaa yaad hai jaan kar sotaa tujhe vo qasa-e-paabosii meraa aur teraa Thukaraa ke sar vo muskuraanaa yaad hai tujh ko jab ta.nhaa kabhii paanaa to az_raahe-lihaaz hal-e-dil baato.n hii baato.n me.n jataanaa yaad hai jab sivaa mere tumhaaraa koii diivaanaa na thaa sach kaho kyaa tum ko bhii vo kaarKhaanaa yaad hai Gair kii nazaro.n se bachakar sab kii marzii ke Khilaaf vo teraa chorii chhipe raato.n ko aanaa yaad hai aa gaya gar vasl kii shab bhii kahii.n zikr-e-firaaq vo teraa ro ro ke mujhako bhii rulaanaa yaad hai do-pahar kii dhuup me.n mere bulaane ke liye vo teraa kothe pe na.nge paao.n aanaa yaad hai dekhanaa mujhako jo bargashtaa to sau sau naaz se jab manaa lenaa to phir Khud ruuTh jaanaa yaad hai chori chori ham se tum aa kar mile the jis jagah muddate.n guzarii.n par ab tak wo thikaanaa yaad hai beruKhii ke saath sunaanaa dard-e-dil kii dastaa.N aur teraa hatho.n me.n vo ka.ngan ghumaanaa yaad hai vaqt-e-ruKhsat alvidaa kaa lafz kahane ke liye vo tere sukhe labo.n kaa thar-tharaanaa yaad hai baavajuud-e-iddaa-e-ittaqaa 'Hasrat' mujhe aaj tak ahad-e-havas kaa ye fasaanaa yaad hai Hallagulla ![]() ![]() sOs![]() ![]() Hallagulla![]() ![]() 3 # <!-- google_ad_section_st art(weight=ignore) -->pariareeba<!-- google_ad_section_en d --> <!-- google_ad_section_en d --> Hallagulla ![]() ![]() sOs![]() ![]() Hallagulla![]() 4 # ~*pari*~ Diyar-e-ghair main kaise tujhe sada dete Tu mil b jaata to aakhir tujhe ganwa dete Tumhi ne hum ko sunaya na apna dukh werna Dua wo kerte k hum aasman hila dete Hamen ye zoum raha ab k wo pukaren ge Unhen ye zid thi k her baar hum sada dete Wo tera gham tha k taseer mere lehje ki K jis ko haal sunate usey rula dete Tumhen bhulana hi awal to dastaras main nahi Jo ikhtiyar b hota to kya bhula dete? Tumhari yaad ne koi jawab hi na diya Mere khiyaal k aansoo rahe sada dete Sama'aton ko main ta umer kosta "syed" Wo kuch na kehte magar hont to hila dete Hallagulla ![]() ![]() sOs![]() ![]() Hallagulla![]() ![]() |
|
#3
| |||||
| |||||
| Hallagulla ![]() ![]() sOs![]() ![]() Hallagulla![]() ![]() 5 # <!-- google_ad_section_st art(weight=ignore) -->Hinata<!-- google_ad_section_en d --> kitni Aziyat se uss nay muj ko bhulaya ho ga meri yaadoun ne ussay khoob rulaya ho ga baat bay baat aankh jo uss ki chalki ho ghee uss ne chahray ko bazaoun mein chupaya ho ga soocha ho ga uss ne din mein kai baar mujay naam hathayli per bi likh likh kar mataya ho ga Jahan uss ne mera zikr sunna ho ga kissi say uss ki aankhoun mein koi aansoo tu aaya ho ga raat kay beeghnay tak neend na i ho ghee tujay tu ne takyaako bi seenay se lagaya ho ga hu kay nidhaal meri yadoun se tu ne jana meri tasveer pay sir apna tikaya ho ga poocha ho ga jo kisi ne teray halaat ka sabab tu ne batoun mein khoob uss se chupaya ho ga Hallagulla ![]() ![]() sOs![]() ![]() Hallagulla![]() ![]() |
|
#4
| |||||
| |||||
| 6 # faridnawaz mousam ke khushbo mein aksar gham ke khushbo mill jati hai amoon kay baagh mein kaisay sawan sawan barsa aansoo apnay bachpan ka qissa hai aik tasveer banaye uss nay mehandi wallay haath rachay thai, beech hathailee tapka ansoo aik gaoon mein do barattain shaid dulha badal gaya mairi ankh mein taira ansoo tairi ankh mein maira aansoo pas say daikho jugnoo ansoo, door say daikhoo tara ansoo mein pholon ke saij pay baitha adhi raat ka tunha ansoo mairi in ankhoon mein aksar gham kay dono pehloo daikhay thehar gaya tu pathar ansoo, beh nikla tu darya ansoo payaar ajeeb talvar hai jis pay hum dono kay naam likhay hain tehni tehni kaliyaan ansoo, pathar pathar jharnaa ansoo Hallagulla ![]() ![]() sOs![]() ![]() Hallagulla![]() ![]() 7 # MUNIR" THE NOOR FOR ALL <!-- google_ad_section_en d --> Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood aankhon main aanso'on ko chupaya na jaa saka kuch log zindagi main aise bhi aaye hain jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar chehre ka rang us se chupaya na jaa saka tanhaiyon ki aag main hum jal gaye magar faasla ana ka mitaya na jaa saka<!-- google_ad_section_en d --> Hallagulla ![]() ![]() sOs![]() ![]() Hallagulla![]() ![]() |
|
#5
| |||||
| |||||
| 8 # pices Hanste hue, aankhon main kyun aa jaate hain ye aansoo Yun khushi ko adhoora sa bana jaate hain ye aansoo Dard itna hai saha, khaali ho gaya samandar ashkon ka Jaane kahan se aankhon main bhar jaate hain ye aansoo Khush hoon main, koi shikwa zamane se na taqdeer se Meri iss baat ko jhoota kyun bana jaate hain ye aansoo Shayad khabar hai in ko bhi kis qadar tanha hoon main Tanhaayi main mera saath nibha jaate hain ye aansoo ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() 9 # saya-e-yazdan Pyaam aee hain us yaar-e-bewafa ke mujhe Jisee iqraar na aaya kaheen bhula ke mujhe Judaian hoon tu esi ke umer bher na mileen Fareeb do tu zara silsele barha ke mujhe Nashee se kam tu nahin yaad-e-yaar ka aalam Ke le ura hai koi doosh per hawa ke mujhe Main khud ko bhula chuka tha |