It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka within the Ghazal forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka zakhmon se ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood aankhon main aanso'on ko chupaya na jaa saka kuch log zindagi main aise bhi aaye hain jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar chehre ka rang us se chupaya na jaa saka tanhaiyon ki aag main hum jal gaye magar faasla ana ka mitaya na jaa saka
__________________ Sara Shaher Hua Tha Jis k Jaanazay Main Shareek... Tanhaiiyun k Khoof Se Wo Shaks Mar Gaya.... |
|
#3
| |||||
| |||||
| Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay Koi To Baat Hia Us Main Faiz Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay
__________________ Sara Shaher Hua Tha Jis k Jaanazay Main Shareek... Tanhaiiyun k Khoof Se Wo Shaks Mar Gaya.... |
|
#4
| |||||
| |||||
| Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak Jaate hue rota woh mujhe chorr gaya tha Armano ki Duniya ke anmol se sapne pal main woh mere saamne sab torr gaya tha Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi Besabab Duniya se mera rukh morr gaya tha Din ki tanhayi ka gham, raaton ki uddasi hamraah Saare ghamon se rishta mera jorr gaya tha Aey kaaaaash koi jaa ke usse pooche Yahan kis ke sahare pe mujhe chor gaya tha
__________________ Sara Shaher Hua Tha Jis k Jaanazay Main Shareek... Tanhaiiyun k Khoof Se Wo Shaks Mar Gaya.... |
|
#5
| |||||
| |||||
| kitni aaziyat se us ne mujhy bholya hoga meri yadoon ne usy khoob rulaya hoga baat be baat yun hi aankh jo teri chalki hogi us ne chehry ko bazoon main chupaya hoga socha hoga us ne din main kai bar mujh ko naam hateli per likh likh mera mitaya hoga jahan mera ziker suna hoga us ne kisi se us ki aankhoon main koi aansoon to aaya hoga ho k nidhaal meri yadoon se tu ney jana meri tasweer per sar apna tikaya hoga raat k bhegny tak neednd na ai ho gi tujhy tu ne takiye ko bhi bahoon main chupaya hoga poocha ho ga jo kisi ne teri halat ka sabab tu ne batoon main khoob usey chupaya hoga
__________________ Sara Shaher Hua Tha Jis k Jaanazay Main Shareek... Tanhaiiyun k Khoof Se Wo Shaks Mar Gaya.... |
|
#6
| |||||
| |||||
| faasale aise bhii ho.nge ye kabhii sochaa na thaa saamane baiThaa thaa mere aur vo meraa na thaa vo ki Khushbuu kii tarah phailaa thaa mere chaar suu mai.n use mahasuus kar sakataa thaa chhuu sakataa na thaa raat bhar us kii hii aahaT kaan main aatii rahii jhaaNk kar dekhaa galii me.n koii bhii aayaa na thaa aks to maujuud the par aks tanahaaii ke the aa_iinaa to thaa magar us me.n teraa cheharaa na thaa aaj us ne dard bhii apane alahadaa kar diye aaj main royaa to mere saath vo royaa na thaa ye sabhii viiraaniyaa.N us ke judaa hone se thii.n aaNkh dhuNdhalaa_ii hu_ii thii shahar dhu.Ndhalaayaa na thaa yaad karake aur bhii takaliif hotii thii "Adeem" bhuul jaane ke sivaa ab ko_ii bhii chaaraa na thaa
__________________ Sara Shaher Hua Tha Jis k Jaanazay Main Shareek... Tanhaiiyun k Khoof Se Wo Shaks Mar Gaya.... |
|
#7
| |||||
| |||||
| nice t4s keep it up
__________________ der comes a point in ur lyf wen u realize who matters, who never did, who wn't anymore, and who always will. so don't wori bout ppl 4rm your past, there's a reason y they dint make it 2 ur future. |
|
#8
| |||||
| |||||
| Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyu Nahi Dete, Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyu Nahi Dete. Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata, Khamosh Khade Hu Saza Kyon Nahi Dete. Use Jis Ke Zakham Hai Inaayat Teri, Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyu Nahi Dete. Kahin Ghar Nahi Baste Hai Jin Ki waja Se, Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyu Nahi Dete. Us Ne Tumhari Khaatir Kiya Kiya Nahi Kiya, Tum Us Ki Wafaaon Ka Sila Kyu Nahi Dete. Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Jaanta Hoon Main, Ye Baat Apne Lab Se Bata Kyu Nahi Dete. Anmol Khazana Hain Muskurahatein Teri, Thoda Sa Ese Mujh Pe Luta Kyu Nahi Dete. Wo Aag Jo Dil Mein Lagaai Thi Kabhi Tum Ne, Wo Aag Aaj Khud Hee Bujha Kyu Nahi Dete. Ek Arsa Howa Chain Se Soye Howe Mera Chain, Meri Neend Lauta Kyu Nahi Dete
__________________ Sara Shaher Hua Tha Jis k Jaanazay Main Shareek... Tanhaiiyun k Khoof Se Wo Shaks Mar Gaya.... |
|
#9
| |||||
| |||||
| very nice...............
__________________ Moat bi zarori hai zindagi bi pyaari hai faslon se juway mai main ne shaam hari hai |
|
#10
| |||||
| |||||
| very nice...............
__________________ Moat bi zarori hai zindagi bi pyaari hai faslon se juway mai main ne shaam hari hai |
![]() |
| Bookmarks |
| Tags |
| palkon, aansoon, sajaya, jaa, saka |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| Bhulaya Na Jaa Saka | 13 Mera 7 Rhey | Ghazal | 8 | 11-30-2007 03:42 PM |
| Palkon ke aansuu | Faisal Husain | Ghazal | 9 | 10-29-2007 10:37 AM |
| ~*~Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka ~*~ | ayankhan | Ghazal | 16 | 10-27-2007 07:49 AM |
| !!~!! Na Main Pass Us Ko bUlla Saka !!~!! | ~ HijR ~ | Nazam | 8 | 10-14-2007 08:35 AM |
| Bhulaya Na Jaa Saka | 13 Mera 7 Rhey | Ghazal | 14 | 09-20-2007 09:33 AM |