It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Kia batla’ain kya kya dekha within the Ghazal forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; Ab kay safar main, tishna-labi main kia batla’ain kya kya dekha Sehra’on ki pyas bujhaatay darya’on ko pyaasa dekha Shayad ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Ab kay safar main, tishna-labi main kia batla’ain kya kya dekha Sehra’on ki pyas bujhaatay darya’on ko pyaasa dekha Shayad wo bhi sard ruton kay chand si qismat laya ho ga Sheher ki bheer main aksar jis ko hum nay tanha tanha dekha Chara-garon ki qaid say chootay, tabeerain sub raakh hueen Ab kay dil main dard wo utra, ab kay khwab hi aisa dekha Dard ka tajir baant raha tha galiyon main majrooh tabassum Dil ki choat koi kia janay, zakhm ko aankh main gehra dekha Jis kay liye badnaam huay hum, aap to us say mil ker aaye Aap nay us ko kaisa paya, aap nay us ko kaisa dekha Kaisa shakhs tha zard ruton ki bheer main jub bhi saamnay aaya Us ko dhoop sa khilta paya, us ko phool sa khilta dekha Abr ki chadar taan kay jheel main saaton rang rachanay utra Moaj-e-aab ki teh main janay chand nay kis ka chehra dekha Teray baad hamaray haal ki her rut aap gawahi day gee Her mausam main apni aank main aik hi dard ka saya dekha Mohsin band kiwaar kay peechay chhup rahi hai sehmi shum’ain Jesay umr kay baad hawa nay meray ghar ka rasta dekha
__________________ HIJR WALON SAY BARI DAIR SAY SEEKHA HUM NA ZINDA REHNAY KAY LIYE JAAN SAY GUZARTAY REHNA ![]() |
|
#2
| |||||
| |||||
| Shayad wo bhi sard ruton kay chand si qismat laya ho ga Sheher ki bheer main aksar jis ko hum nay tanha tanha dekha wah ![]() buhat khubsurat ghazal share kii hai ap nay ![]() thanks for sharing KHush rahain .................... . ![]() |
|
#3
| |||||
| |||||
| Teray baad hamaray haal ki her rut aap gawahi day gee Her mausam main apni aank main aik hi dard ka saya dekha hum aap ko is bazm mein khushaamdeed kahtay hain last island....bahot khoobsurat ghazal share ki hai aap ne...keep sharing & enjoy ur stay here Last edited by mystique; 07-16-2007 at 07:19 AM. |
![]() |
| Bookmarks |
| Tags |
| batlaain, dekha |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| ~ Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha ~ | timy | Ghazal | 8 | 07-03-2008 09:12 AM |
| Dekha tha jis ko hum ne kabi | Ragni | Ghazal | 14 | 08-29-2007 02:06 PM |
| Bheer Mein Rishtoon Ki Is Dil Ko Akela Dekha | ayankhan | Ghazal | 14 | 07-16-2007 07:08 AM |
| sab ne dekha | dua e zahra | Ghazal | 17 | 06-20-2007 06:02 AM |
| Kia tum ney kabi apna Muqadar nehi dekha | Ragni | Ghazal | 11 | 06-05-2007 05:58 AM |