It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Kabhi saya hai kabhi dhoop muqaddar mera within the Ghazal forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; Kabhi saya hai kabhi dhoop muqaddar mera kabhi saya hai kabhi dhoop muqaddar mera hota rehta hai yunhi qarz barabar ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Kabhi saya hai kabhi dhoop muqaddar mera kabhi saya hai kabhi dhoop muqaddar mera hota rehta hai yunhi qarz barabar mera toot jate hain kabhi mere kinare mujh main doob jata hai kabhi mujh main samandar mera kisi sehra main bichhad jaenge sab yaar mere kisi jungle main bhatak jaega lashker mera baawafa tha to mujhe poochhne wale bhi na the-y bewafaa hun to hua naam bhi ghar ghar mera kitne hanste hue mausam abhi aate lekin aik hi dhoop ne kumhla diya manzar mera aakhri jur-e per kaif ho shayad baqi ab jo chhalka to chhalak jaega saaghar mera |
|
#2
| |||||
| |||||
| very nice.. toot jate hain kabhi mere kinare mujh main doob jata hai kabhi mujh main samandar mera yeh sher to hasil-e-ghazal hai keep sharing
__________________ |
|
#3
| |||||
| |||||
| Salaammmm wah wah wah wah wah buhat hi aalaa buhat hi khub
__________________ A F S A N A |
|
#4
| |||||
| |||||
| toot jate hain kabhi mere kinare mujh main doob jata hai kabhi mujh main samandar mera wahhhh wahh..... kya kehnay janab bohat hi khoobsurat ghazal ka intakhaab hai noor-al-sabah aap ka yoon hi apna intakhaab share kerti raha karain.. thanks for sharing
__________________ jo rukay to koh-e-giraan thay hum, jo chalay to jaan se guzer gaye rah-e-yaar hum nay qadam qadam tujhay yaadgaar bana diya |
|
#5
| |||||
| |||||
| toot jate hain kabhi mere kinare mujh main doob jata hai kabhi mujh main samandar mera bohat umdah laga aap ka intikhab... mazeed share kerti rahiye mile
__________________ ![]() . . Tere is jahaN maiN aye Khuda..woh nahi to lagta hai kuch nahi |
|
#6
| |||||
| |||||
| Baraey naam sahi koi meherbaan to hai hamare sar pe bhi hone ko aasman to hai yeh aur baat ke woh ab yahan nahin rehta magar yeh uska basaya hua makan to hai alawa iske na kuchh aur parda rakh mujhse faseel-e jism mere tere darmiyan to hai bichhar ke zinda nahin rehsakenge hum donon mujhe yeh wahm to hai unko yeh gumaan to hai saron pe sayafagan abr-e aarzoo na sahi hamare paas sarabon a saibaan to hai gul-e murad nahin sang haey tifl sahi ghareeb-e sheher ka akhir kisi ko dhyan to hai |
|
#8
| |||||
| |||||
| Salamz Very Nice ..... ![]() Ta Ta A.Hafiz
__________________ ![]() |
|
#9
| |
| |