It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on itna toota hoon ki within the Ghazal forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; Meri har subha ki ibtida tu hai, meri hur raat ki inteha tu hai, mera marz na koi samjh saka, ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Meri har subha ki ibtida tu hai, meri hur raat ki inteha tu hai, mera marz na koi samjh saka, meray har zakhm ki dawa tu hai, jab bhi haath uthay Khuda ki janib, baad hamd-o-sana meri dua tuu hai, door reh ke bhi tu pass hai meray, kon kehta hai k mujh se juda tu hai,
__________________ amair. |
|
#2
| |||||
| |||||
| Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga, Ab agar aur dua dogi to mar jaaoonga ! Pooch kar mera pata, waqt ra-e-gah na karo, Main to banjara hoon, kya jaanay kidhar jaaoonga ! Har taraf dhund hai, jugnu hai na charagh koi, Kaun pehchanayga, basti mein agar jaaoonga ! Zindagi, me bhi musaafir hoon teri kashti ka, Tu jahan mujh say kahegi main utar jaaoonga ! Phool rah jayeengay guldaan mein yaadon ki nazar, Main to khushboo hoon phizaon mein bikhar jaaoonga ! Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga, Ab agar aur dua dogay to mar jaaonga ! |
|
#3
| |||||
| |||||
| Umda SharinG Lekin Yeh Nazam Nahi Ghazal hAi Aur Aap mOstly Ghazals kO Nazam Mein Aur Nazam kO Ghazal Section Mein Share Kar Daitey hAin Plz Section Sey Related Stuff Hii Post Kiya Karien Thanx
__________________ ![]() |
|
#5
| |||||
| |||||
| very nice sharing ![]()
__________________ Lou aa gayii un kii yaad ![]() woh nahin aaye |
|
#6
| |||||
| |||||
| umda sharing,,,,,,,,,,,,, ,,,,
__________________ ![]() |
|
#7
| |||||
| |||||
![]() .......... ..........
__________________ Ayy athra Ishq na sonn dainda saari raat jagaai rakhda ehy ![]() |
|
#9
| |||||
| |||||
| Meri har subha ki ibtida tu hai, meri hur raat ki inteha tu hai, mera marz na koi samjh saka, meray har zakhm ki dawa tu hai, jab bhi haath uthay Khuda ki janib, baad hamd-o-sana meri dua tuu hai, door reh ke bhi tu pass hai meray, kon kehta hai k mujh se juda tu hai, .................... .................... .................... Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga, Ab agar aur dua dogi to mar jaaoonga ! Pooch kar mera pata, waqt ra-e-gah na karo, Main to banjara hoon, kya jaanay kidhar jaaoonga ! Har taraf dhund hai, jugnu hai na charagh koi, Kaun pehchanayga, basti mein agar jaaoonga ! Zindagi, me bhi musaafir hoon teri kashti ka, Tu jahan mujh say kahegi main utar jaaoonga ! Phool rah jaye |