It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Humain Dil Laganay ki Adat Nahi Hai within the Ghazal forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; Ye kaisi ajabb zindagi ki ghari hai ke jabb saay ki bhi rafaaqat nahi hai Koee shakhs un ko nayaa ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [4] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Ye kaisi ajabb zindagi ki ghari hai ke jabb saay ki bhi rafaaqat nahi hai Koee shakhs un ko nayaa jo milaa to kahaa k puraanay ki aadat nahi'n hai Meri aank bojhal na ho garr to kaisay? koee bojh sehnay ki aadat nahi hai Koeee aa ke kholay meri bandd aankhai'n Mujhay abb jagaanay ki aadat nahi hai Koee khalq ki bandagi jo karay garr To ye bandagi hai, ibaadat nahi hai Jo mafhoom poochhay koee abdd kaa to Kahai'n, ye bataanay ki aadat nahi hai Safarr ye kathan hai, bataayaa tha un ko unhai'n saath chalnay mai'n raahat nahi hai Jo harr pal hamai'n aazmaatay rahay ho'n Unhai'n aazmaanay ki aadat nahi hai Wafaa lafzz kehtay rahay umrr bhar jo Unhai'n ye nibhaanay ki aadat nahi hai Jo tum khailtay ho to khailo dilo'n se hamai'n dil lagaanay ki aadat nahi hai Jo kehtay thay tum ko hai sapno'n mai'n daikha Woh kehty hai'n khwaabo'n ki aadat nahi hai Kisi ki hansee yaad aati hai wernaa Hamai'n muskuraanay ki aadat nahi hai Jo daikhi woh aankhai'n, qadam un k bojhal kahai'n hum ko manzil ki chaahat nahi hai Rahay dasht ke umr bharr jo musaafir qadam do qadam ki bhi aadat nahi hai Nayaa shehr harr din, nayaa darr har ik shabb dagarr poochnay ki bhi haajat nahi hai Hamai'n gharr milaa bhi to uss waqt Sajid K jab gharr ko jaanay ki aadat nahi hai Written By: Sajid Raheem Sheikh
__________________ Pocha tha ik sahib-e-dil nae mera mizaj Bay-sakhta labon pe tera naam aa gaya Hum nae tumhare baad na rakhi kisi say aas Ik tajurba buhut tha, bara kaam aa gaya |
|
#2
| |||||
| |||||
| Buhat khoob......... ![]()
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |
|
#3
| |||||
| |||||
| nice sharing...
__________________ Guzray Huay Taweel Zamanay Kay Baad Bhi Dil Main Raha Woh Choor Kay Janay Kay Baad Bhi Pehlu Main Reh Kay Dil Nay Dia Hai Bohat Faraib Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulanay Kay Baad Bhi |
|
#4
| |||||
| |||||
| very nice... thanx for sharing @};-
__________________ ![]() |
|
#5
| |||||
| |||||
| very beautiful.
__________________ Signature Removed - Unable to load the image |
|
#7
| |||||
| |||||
| Very Nice........Keep Sharing!!!
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |
|
#8
| |||||
| |||||
AOA VERY NICE DEAR .................... .......
__________________ Signature Removed - Only One Image is Allowed |
|
#9
| |||||
| |||||
v,nice dear :flower3
__________________ Signature Removed - Unable to load the image |