It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Ghazal Contest for the Month of December 07 within the Ghazal forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; Asalam O Alikum friends Es month contest k lea jo word chuna geya wo haii December Hope ap sab ko ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Asalam O Alikum friends Es month contest k lea jo word chuna geya wo haii ![]() December![]() ![]() Hope ap sab ko pasnad aay ga or hamain December say related buhat acha kalam paRhnay ko milay ga ![]() Rules ![]() ![]() Aik Member sirf aik hii post karay ga aik say zada posthonay ki surat mian ap ki tamam Posts delete kar de jain gee ![]() same post b naii karain agar esa ho ga tu jo Ghazal Pahlay post ki gaye ho gee Wo hi contest mian samil ki jay gee ![]() Contest ki Last date 21 December haii![]() kisii b tarah ki Discussion allow naii ho gee![]() ![]() ![]() ![]() Ap ki khubsurat choices ka intazar rahay ga ![]() ![]() ![]() Regards SOS MODS ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() |
|
#2
| |||||
| |||||
| Abhi hijr ka qayaam hai aur December aan pahuncha hai Ye khabr shahar main aam hai December aan pahuncha hai Aangan mein utar ayi hai manoos si khushboo Yadon ka azdahaam hai December aan pahuncha hai Khamoshiyon ka hai raaj khizaan taaak main hai Udasi bhi bahot aam hai December aan pahuncha hai Tere aanay ki ummid bhi ho chuki maadoom Naye saal ka ahtamaam hai December aan pahuncha hai Khunak rut main udasi bhi chaukhat pe khadi hai Jaday ki udaas shaam hai December aan pahuncha hai Tum Aao to mere mausamon ki bhi takmeel ho jaye Nayi rut to sar e baam hai December aan pahuncha hai
__________________ ![]() |
|
#3
| |||||
| |||||
| Bhara Acha sa December Main tera ayna mujhy acha sa lagta hai pall pall Roth karna jana mujhy acha sa lagta hai kabhi sarde se lagte hi tere namkeen baton sey Ayon Khayaab Main Aynaa Tera Acha sa lagta hai Tumhare Sharbate Aankhin Mujay Aksir Batate hain Mare Saath Athlana Tumye Acha Sa Lagta hai Kabhi Jo Shaam ko AKsir main Tanha sa hota hon Tum ko Such kar Gungunana Bhara Acha Sa Lagta hai December Ki Tanha Ratin Us par tera jadoo Supno Main khoye Jana bhara Acha sa lagta hai main Tayaar Rheta hon kub wo han kardai us ko dulhan bunana ghar lana Acha sa lagta hai
__________________ ![]() |
|
#4
| |||||
| |||||
| sulag rahi hain dahan mey kibaein lafzon ki mgr zubaan pe wohi sardion ka mosam hai tumhare aane pe suraj k haath chamkein ge mere makan pe wohi sardion ka mosam hai har ek simt pighalne lage hain san'nate tere beyaan pe wohi sardion ka mosam hai teri judai k pal se hua hai ishq hanoot k iss jahan pe wohi sardion ka mosam hai wo mujh ko soonp gya furkatein DECEMBER mey darkhte jaan pe wohi sardion ka mosam hai humare lab to duaein jalay rakhte hain par asmaan pe wohi sardion ka mosam hai |
|
#5
| |||||
| |||||
| YAAD AOONGA Tum meray ankh k taver na bola pao gay Un kahi baat ko samjo gay tho yaad aoonga Hum nay khushiyon ki tara duk b akatay daikay Safa-e-zeest ko palto gay tho yaad aoonga Iss jodai main tum ander say bikar jao gay Kissi mazoor ko daiko gay tho yaad aoonga Issi andaz ma hotay thay mukhatib muj se Khat kissi aur ko likho gay tho yaad aoonga Meri khushboo tumay kholay gi golabo ki tara Tum agar khud se na bolo gay tho yaad aoonga Sard rato main mehktay huway sanato main Jub kissi phool ko chumo gay tho yaad aoonga Aaj tho mehfil-e-yara pay ho magroor bohat Jub kabi toot k bikro gay tho yaad aoonga Aub tho yeh ashuk main honto se chura laita hoon Haath se khud inne poncho gay tho yaad aoonga Shaal pehnay ga aub kon DECEMBER main tumay Barisho main kabi bigo gay tho yaad aoonga Hadsay ayain gay jeewan main tho tum ho k nadhal Kissi dewar ko thamo gay tho yaad aoonga Iss main shamil meray bakat ki tariki b Tum seea rung jo pehno gay tho yaad aoonga ******************** *************** Last edited by zeename; 12-05-2007 at 12:16 PM. |
|
#6
| |||||
| |||||
| Mah-e-December Jab bhi sochoon tujhay dard apna barha laita hoon Phir har naye saal ka suraj dekh kar muskura laita hoon Mah-e-December ki sard raaton ke waaday yaad karkay thoray thoray ashk ankhon se apni baha laita hoon Kabhi jo ankhoon main tairay ashk dekhoon Khwab ban ke woh tamam ashk chura laita hoon Yeh aadat to Husn-o-Wafa ke qayal jante hain mairy Ke pyar milay jahan bhi sar apna jhuka laita hoon Jab bhi koi Ghazal terey naam likhoon Baatain likhta hoon tamam magar tera naam chupa laita hoon Na samjha tu ne mujhay aur na hi mairy mohabbat ko aye dost Naya saal mubarak khush rehne ki tujhay Dua daita hoon
__________________ ![]() ![]() Last edited by khurram_83pk; 12-06-2007 at 01:13 AM. |
|
#7
| |||||
| |||||
| Humare hal per roya DECEMBER Woh dekho toot ker barsa DECEMBER Guzar jata hai sara saal yun toh Nahi katta magar tanha DECEMBER Bhala barish se kya sarab ho ga? Tumhare wasal ka payasa DECEMBER Woh kab bichra? nahi aab yaad lekin Bas itna illm hai k tha DECEMBER Yun palkein bheegati rehti hain aise Meri aankhon main jaise aa thehra DECEMBER Jama ponjhi yehi hai umer bhar ki Meri tanhai aur mera DECEMBER Sabab na pooch mere aanson ka Hai pehle hijr ka pehla DECEMBER Main inn yaadon se bach k jaon kaise K mellon dor hai phela DECEMBER Meri aankhon se ger deko toh jano K hai barsaat main jalta DECEMBER Abhi tak kohr main dooba hai aangan Abhi tak yaad hai pechla DECEMBER ![]() |
|
#8
| |||||
|