It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here![]() |
|
#1
| ||||
| ||||
| Asalam O Alikum Friends ![]() Es month main ghazal contest k lea hum nay jo word chuna haii wo hai ![]() Hijr ![]() ![]() ![]() ![]() Rules kuch es tarh sayhain 1 nO discussion 2 Aik member sirf aik hi post karay ga 3 or ap ki choies share karnay ki last date 21 August ho gii ![]() Umeed haii har bar ki tarh ap es bar b es contest main bharpur hisa laingay ![]() khush rahain muskuratay rahain ![]() Last edited by Asifa; 08-03-2007 at 08:29 AM. |
| Sponsored Links |
|
#2
| ||||
| ||||
| dhoop ke dasht main seeshe ki ridayen di hain zindagi too ne hamen kaisi sazaein di hain shoulon jaisi hi aata ki hain sulagti boonden aag barsati howi ham ko ghataein di hain k dua go ne rafaqat ki tassali deker umr bhar hijr mai jalne ki sazaein di hain dil ko bujhne ka bahana koi darkar to tha dukh to yeh hai tere daaman ne hawaein di hain kaisa mahool mila hai hame jeene ke liey denay waley ne hamen kaisi fizaaein di hain |
|
#3
| ||||
| ||||
| dard jab terii ataa hai to gilaa kis se karein hijr jab tuune diyaa hai to milaa kis se karein aqs bikharaa hai teraa tuut ke aaiine saath ho gayii zakhm nazar aqs chuna kis se karein main safar mein huun mere saath judaaii terii hamsafar gham hai to phir kisko juda kissey karein khil ut'they gul yaa khiley dast-e-hinaaii tere har taraf tuu hai to phir teraa pataa kis se karein tere lab, terii nigaahein,tere aariz,terii zulf itane zindaan hain to is dil ko rihaa kis ke karein
__________________ |
| Sponsored Links |
|
#4
| ||||
| ||||
| hijar ki bud-duaa naa ho jaana dekh leyna saza naa ho jaana morr to bey shumar aayain ghay thakk naa jaana juda naa ho jaana ishq ki inteha nahin hoti ishq ki inteha naa ho jaana bey iraada safar per niklay ho raasto'n ki hawa naa ho jaana zindagi dard sey ibaarat hai zindagi sey khafa naa ho jaana aik tum hi ko khuda sey maanga hai tum kahin bey wafa naa ho jaana
__________________ ![]() Last edited by tauseef_khan; 08-02-2007 at 01:01 PM. |
|
#5
| ||||
| ||||
| MERNE KA TERE GHAM MAIN IRADA B NAHI HAI HAI ISAQ MAGAR ITNA ZIYADA B NAHI HAI HAI YOUN K IBARAT KI ZUBAN AUR HAI KOI KAGHAZ MERI TAQDEER KA SADA B NAHI HAI KYOUN DEKHTE REHTE HAIN SITARON KI TARAF HUM JAB UN SE MULAQAT KA WADA B NAHI HAI KYOUN US KI TARAF DEKH K PAAON NAHI UTHTE WO SHAKHAS HASEEN ITNA ZIYADA B NAHI HAI KIS MOR PE LE AAYA HAI HAMEN HIJAR-E-MUSALSAL TA HAD-E-NIGAH WASL KA WADA B NAHI HAI PATHAR KI TARAH SARD HAI KYOUN AANKH KISI KI "AMJAD"JO BICHERNE KA IRADA B NAHI HAI |
|
#7
| ||||
| ||||
| Aankh ban jati hai sawan ki ghata shaam kai baad Lout jata hai agar koi khafa shaam kai baad Woh jo tal jati rahi sar say bala shaam kai baad Koi to tha kai jo deta tha dua shaam kai baad Aahain bharte hai shab-e-hijar yateemo.n ki tarah Sard ho jati hay her roz hawa shaam kai baad Shaam tak qaid raha kartay hain dil kai andar Dard ho jatay hain saray hi haray shaam kai baad Log thak haar kay so jatay hain laikin janaa Hum nay khush ho kar tera dard saha shaam kai baad Shaam say pehlay talak laakh sulaey rakhain Jaag uthti hai muhabbat ki aana shaam kai baad Chand jab ro kai sitaron say galay milta hay Ek ajab rang ki hoti hai fiza shaam kai baad Hum nay tanhai say poocha kai milo gee kab tak Uss nay Be-chaini say foren he kaha, shaam kai baad Tum gaye ho to seyah rang kai kapray pehnay Phirti rehti hai meray ghar main qaza shaam kai baad Lout aati hai meri shab ki ibadat khali Janay kis arsh pay rehta hai khuda shaam kai baad Koi bhola hua ghum hai jo musalsal mujh ko Dil kai pataal say daita hai sada shaam kai baad Maar deta hai ujar janay ka dohra ehsaas Kaash ho koi kise say na juda shaam kai baad
__________________ ![]() |
|
#8
| ||||
| ||||
| Saat Suron ka behta darya Teray Naam Her Sur main ek rang dhanak ka Teray Naam Jungle jungle ronay walay sab mosam Aur hawa ka sabz dupatta Teray Naam HIJR ki sham akyli raat k khali dar Sobh-e-firaq ka zard ujala Teray Naam Tery bina jo umer bitai beet gaye Ab is umer ka baqi hissa Teray Naam Jitnay khoa'ab khuda nay meray naam likhay In khoa'abon ka resha rehsa Teray Naam |
|
#9
| ||||
| ||||
| Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay k ashq rokna tum se mohaal hona hay har aik lab pe hay meri wafa k afsanay tere sitam ko abhi lazawal hona hay tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay tumharay hijar main ik lamha bhi sal hona hay humari rooh pe jaab bhi azaab utrain hay tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahon main kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan baas intizaar hay kab yeh kamal hona hay har shaks chalay ga humari rahoon per mohabaton main humahin woh misaal hona hay Zamana jis k kham-o-peech main ulajh jaye humari zaat ko aisa sawal hona hay Wasi" yaqeen hay mujh ko woh lout aye ga usay bhi apne kiye ka malal hona hay . Last edited by IZHAR; 08-03-2007 at 09:44 AM. |
|
#10
| ||||
| ||||
| Ishq Ne Kya Kya Ranj Sahe Tum Kya Jano Aag Main Kitne Phool Khile Tum Kya Jano Hijr Ki Kaali Raat Main Kaise Kaise Loog khaak Main Milke Khak Hue Tum Kya Jano Humne Ik Tumhare Naam Ki Khushboo Se Kitne Dasht Bahar Kiyeh Tum Kya Jano Apni Kitab-e-Umr Ki Sari Sattron Main Humne Kiske Khuwab Likhe Tum Kya Jano Tum Bichre Tou Humne Apni Palkon Per Kitne Darya Rok Liyeh Tum Kya Jano Sur Ki Chaooon Main Lafz Ki Kaliyaan Khilney Tak Hum Tou Sab Kuch Bhool Gay Tum Kya Jano
__________________ < |