It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Ghazal Competition For August 2008 within the Ghazal forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; Bachapan k dukh kitnay achay hotey thay. Tab tu sirf khilonay tuta kertay thay. Wo khushian b janay kaisi khushian ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#31
| |||||
| |||||
| Bachapan k dukh kitnay achay hotey thay. Tab tu sirf khilonay tuta kertay thay. Wo khushian b janay kaisi khushian thin. Titli k par noch kar uchala kartay thay. Chotay thay tow makr-o-faraib b chotay thay Daana daal kar chiriyan pakra kertay thay. Paon maar kar barish k paani mein Apni nao aap daboyya kertay thay. Apne jal jane ka b hsas na tha Jaltay huey sholon ko chera karte thay. Ab tu ik ansu b ruswa kar deta hai BACHAPAN mein ji bhar k roya karte thay. |
| The Following 2 Users Say Thank You to kakag For This Useful Post: | ||
Bigb (08-09-2008), saharey2020 (08-10-2008) | ||
|
#32
| |||||
| |||||
| na shikayatain na sawal hai koi aasra na malal hai teri bayrukhi bhi kamal thi meray zabt ko bhi kamal hai meri chahatoon ka sila na day meray hoslay ki tu dad day na khuda say tujh ko talab kia na hi tujh say koi sawal hai bary rakh rakhaoo say ishq main meri wahshatoon nay guzar di tera naam hoo tera zikar hoo meri ankh naam hoo majal hai tu samandaroon ki misal day mujhy koh-saar passand hain tujhay tund khoi pay naaz hai mujhy khamoshi main jamal hai meri sooch nay meri chah nay jisy harf harf raqam kia wohi naam likhna azzab hai wohi intesaab mahal hai |
| The Following 2 Users Say Thank You to aineeza syed For This Useful Post: | ||
Bigb (08-09-2008), saharey2020 (08-10-2008) | ||
|
#33
| |||||
| |||||
![]() Us ko bhi bachana hai khud ko bhi bachana hai.... ![]() us ko bhi bachana hai khud ko bhi bachana hai aik simt hai zaat apni aik simt zamana hai hum se na koi uljhe hum log hain deewane andhi se hamen zid hai aik deep jalana hai hum dono ko banta hai darya ke kinaron ne is simt bhi rehna hai us simt bhi jana hai ye ishq to fitrat hai kese ho juda mujh se ye rog hai matti ka aur sadiyon purana hai basti hi chupa li phir us shakhs ne hathon mein itna jo kaha main ne aik shahar basana hai aik ankh hai sehra to aik ankh samandar hai kya janye is dil mein kis kis ko samana hai kehne ko bohat kuch hai, ai saad magar hum ne aik wada nibhana hai aik dard chupna hai saadullah shah ![]()
__________________ ![]() |
| The Following 2 Users Say Thank You to Mayyaa For This Useful Post: | ||
Bigb (08-09-2008), saharey2020 (08-10-2008) | ||
|
#34
| |||||
| |||||
![]()
__________________ ![]() |
| The Following 4 Users Say Thank You to Shoaib For This Useful Post: | ||
|
#35
| |||||
| |||||
| usko BHi HUM Se waisee hi mohbat HO toh kiya baat hai..... EIk Sii dono ki haalat ho toh kya baat hai ...... DIl ki chahat toh khuwab jagah deti hai.... haan magar saath mein qismat bhi ho toh kiya baat hai .... meri TAnhayan karti hain jinhe yaad ... sada unko bhi meri zarurat ho toh kiya baat hai .... muskurane se bhi hota hai bayan gham-e-dil.... aankh se aansoo tapke toh kiya baat hai .... neend toh dard ke bister pe bhi a'a sakti hai ... unki jholi mein sar ho toh kiya baat hai ........
__________________ DONT SAY YOU LOVE ME UNLESS U REALLY MEAN IT CUZ I MIGHT DO SOMETHING CRAZY LIKE BELIEVE IT |
| The Following 2 Users Say Thank You to nomanmemon2007 For This Useful Post: | ||
Bigb (08-09-2008), saharey2020 (08-10-2008) | ||
|
#36
| |||||
| |||||
![]()
__________________ ![]() |
| The Following 2 Users Say Thank You to dost dost For This Useful Post: | ||
Bigb (08-10-2008), saharey2020 (08-10-2008) | ||
|
#37
| |||||
| |||||
| Palkon pe aansoon ko sajaya na jaa saka.. Us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka.. Zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera.. Ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka.. Jab teri yaad aayi to koshish k bawajood.. Aankhon mein aansoon ko chupaya na jaa saka.. Kuch log zindagi mein aise bhi aaye hain.. Jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka.. Bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho.. Hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka.. Woh muskura raha tha mere ru-ba-ru magar.. Chehre ka rang us se chupaya na jaa saka.. Tanhaiyon ki aag mein hum jal gaye.. Magar faasla ana ka mitaya na jaa saka... |
| The Following User Says Thank You to sunbal For This Useful Post: | ||
saharey2020 (08-10-2008) | ||
|
#38
| |||||
| |||||
| Un dinon jab ke tum thay yahan Zindagi jagi jagi si thi Sarey mausam barey meherban dost thay Rastey dawatnamey thay, jo manzilon ne bichaey thay hamarey liye Pair bahain paserey khare thay, hamain chaoon ki shawl pehnane ke waste Sham ko sab sitare buhut muskurate thay, jab dekhte thay hamein Aati jati hawaien koi geet khushbu ka gati hui, charti thien, guzar jati thien Asman pighley neelam ka aik gehra talab tha Jis mai har raat aik chand ka phool khilta tha Aur pighley neelam ki lehroon mai behta hua Wo hamare diloon k kinaroon ko chu leta tha Un dino jab k tum thy yahan . . . . . . . phir........ Ashkon mai jaise dhul gae sb muskurate rang, raste mai thak ke so gai masum si umang.. Dil hai k phr bhi khawb sajane ka shauq hai, pathar pe bhi gulab ugane ka shauq hai.. Barsoon se yun to aik amawas ki rat hai, ab is ko hausla kahun ke zid ki bat hai.. Dil kehta hai andherey mai bhi roshni to hai, mana k rakh ho gae umeed ke alau.. Is rakh mai bhi aag kahien par dabi to hai.. YE VEERANIYAN. . . . . .
__________________ ![]() |
| The Following User Says Thank You to BeJaaN_DiL For This Useful Post: | ||
saharey2020 (08-10-2008) | ||