It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Ghazal Competition For August 2008 within the Ghazal forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; aaj me ka dil aa gaya ghazls pe i m back after 4 months in this section mulahiza farmaain abb ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [2] |
|
#11
| |||||
| |||||
| aaj me ka dil aa gaya ghazls pe i m back after 4 months in this section mulahiza farmaain abb tak noor-o-nikhat-o-rang-o-sadaa kahoon main tujhy choo sakoon to khudaa jaany kiyaa kahoon lafzon se unko pyaar hain mafhoom se mujhy woh gul kahain jissy, main tera naqsh-e-paa kahoon abb justju hey teri jafaa kay javaaz kee jee chaahta he tujhko wafa aashna kahoon sirf iss liy k ishq issi ka zahoor hey main tery husn ko kabhi saboot-e-wafa kahoon tu chall diya to kitny haqaaiq badal gaye najm-e-sehar ko marqad-e-shab ka diyaa karoon kiya jabber hay ke butt ko kabhi kahanaa pary khuda woh hay khuda to mery khuda tujh ko kiya kahoon jab mery moonh main meri zubaan hay to kiyoun na main jo kuch kahoon yaqeen se kahoon barmala kahoon kiya jaany kiss safar pe ravaan hoon azzal se main har inteha ko aik nayee ibtedaa kahoon ho kiyoun na mujy apny mazaaq-e-sukhan pe naaz gaalib ko kaainaat-e-sukhan kaa khudaa kahoon AHMED NADEEM QASMI
__________________ ![]() |
|
#12
| |||||
| |||||
| jabh seena ghum say bojhal ho aur yaad kisi ki ati ho tab kamre main band ho jana aur chupkay chupkay ro lena jabh ankhain baghi h o jaen aur yaad main meri bhar aen phir khud ko dhoka mat dena aur chupkay chupkay ro lena jabh palkain karb say mondi hon aur sabh samghte tum sote ho tab mun pay takia rakh lena aur chupkay chupkay ro lena ye duniya zalim duniya hai, ye baat bohat pehlai ghi tum samne sab kay chup rehna aur chupkay chupkay ro lena *jabh barish chehra dho dale aur ashk bhi bundain laGte hon woh lamha harghiz mat khona aur chupkay chupkay ro lena* |
| The Following 4 Users Say Thank You to \*-*!*-*PaRiArEeBa*-*!*-*/ For This Useful Post: | ||
|
#13
| |||||
| |||||
| "Muhabbaton Ka Pata Chalay Ga" Hadood e jaan say guzar howa, to muhabbaton ka pata chalay ga muhabbaton ki nazar howa, to muhabbaton ka pata chalay ga wafa ka poda shajar howa, to muhabbaton ka pata chalay ga naseeb us ka samar howa, to muhabbaton ka pata chalay ga abhi to phirtay ho doston main, aziz koi juda nahin hai koi idher say udher howa, to muhabbaton ka pata chalay ga ye Khushnaseebi hai shehar bhar main, tumhara dushman nahin hai koi kahbi kisi ka joor howa, to muhabbaton ka pata chalay ga ye fasla sa abhi talak, jo hamaray dono k darmiyan hai ye fasla mukhtasir howa, to muhabbaton ka pata chalay ga muhabbaton main to pathar ko bhi, moom howay suna hai laikin tumharay dil pay asar howa, to muhabbaton ka pata chalay ga jo jis ki khatir zamanay bhar ko, bana rahay ho tum apna dushman wohi agar na apna howa, to muhabbaton ka pata chalay ga |
| The Following 5 Users Say Thank You to Harry Potter For This Useful Post: | ||
Bigb (08-04-2008), mak_ali (08-07-2008), mFaraz (08-05-2008), saharey2020 (08-04-2008), seemaab (08-05-2008) | ||
|
#14
| |||||
| |||||
| Assalam Alaikum.....is baar mera bhi dil zidd kar raha tha ke contest ka hissa banu...to len ji mai bhi agayi hun apni pasandeeda shayeraa ki ghazal ke sath. Ummeed hai pasand ayegi aap sab ko.
__________________ ![]() |
| The Following 5 Users Say Thank You to Abr-e-guraizaN For This Useful Post: | ||
Bigb (08-04-2008), mak_ali (08-07-2008), Mayyaa (08-11-2008), mFaraz (08-05-2008), saharey2020 (08-04-2008) | ||
|
#15
| |||||
| |||||
| magroor hi sahi mujhay achaa bouth laga wo ajnabi tu thaa magar apna bouth laga rootha howa thaa hans tu para mujko dekh kar mujko tu isqadar bhi dilasa bouth laga sahra main ji raha thaa jo derya dili k sath dekha jo goor say tu wo piyasa bouth laga wo jis k dam qadam say theen basti ki ruonaqian basti ujar gaee tu akayla bouth laga lapta howa ho kuhar main jaysay qezan ka chand milay libas main bhi wo piyara bouth laga raysham pahin kar bhi mairee qeemath na brrh saki khadar bhi us k jisem per mahnga bouth lag mohsin jab aienay pay mairee sans jam gaee muj ko kud apna ukass bhi dhundla bouth lagaa |
| The Following 4 Users Say Thank You to raniya_khan For This Useful Post: | ||
|
#16
| |||||
| |||||
| Woh yoon kho kay mujhay paya karain gay Mira afsana.............. ..duhraya karain gay Sitam apnay.........jo yad aaya karain gay Tou dil hi main..........pachta ya karain gay Ghuroor e husn ko..........batil samajh kar Sarapa ishq..............bu n jaya karain gay Na hogi tab...........zabt e gham jub un ko Yaqeenan........ashk bhar laya karain gay Qayamat houn gi.........nazik dil ki aahain Her ik zarray ko.........tarpaya karain gay Falak matam karay ga.........bay kasi per Meh o anjum........taras khaya karain gay Mujhay her gam per.......thukranay walay Mujhi per............naz fermaya karain gay Na hogi jub..............suk oon ki koi soorat Kuch apnay dil ko.....samjhaya karain gay Her ik tadbee.............. ...jub nakam hogi Tou mujh ko roo ba roo...paya karain gay Nigahoon say mila kar........woh nigahain Yaka ya....... .rukh badal jaya karain gay Wohi naz o ada ki.................s hakl hogi Usi soorat say........sharmaya karain gay Main kahta hi rahoon ga.....qissa e gham Woh suntay suntay.....so jaya karain gay Magar jub khatm hoga...aalam e khawab Na pa kar mujh ko..ghabraya karain gay Shakeel apnay liyay.........lamhat fursat Payam nau ba nau........laya karain gay
__________________ ![]() |
|
#17
| |||||
| |||||
| Chaahat ka rang tha na wafa ki lakeer thi Qaatil k haath mein to hina ki lakeer thi Khush hoon k waqt-e-qatl mera rang surkh tha Mere laboN pe harf-e-dua ki lakeer thi Main kaarvaaN ki raah samajhta raha jise Sehra ki reit par wo hawa ki lakeer thi Sooraj ko jisne shab k andheron mein gum kia Mauj-e-shafaq na thi wo qaza ki lakeer thi Guzra hai shab ko dasht se shaayad wo parda-daar Har naqsh-e-pa k saath rida ki lakeer thi Kal uska khat mila k saheefa wafa ka tha Mohsin har ek satr haya ki lakeer thi...
__________________ ![]() |
| The Following 4 Users Say Thank You to mFaraz For This Useful Post: | ||
|
#18
| |||||
| |||||
| Dilo地 Ko Chhaid Ker Rakh Dain Jo, Un Lafzon Se Khaa段f Hoon Kisi Masoom Per Banti Hui Baton Se Khaa段f Hoon Wo Jin Ki Aanch Se Dil Ke Kanwal Murjha Ke Reh Jayen Main Aisay Garm, Jhulsaye Huay Lehjon Se Khaa段f Hoon Kisi Ko Zaat Se Meri Koi Takleef Na Pohnchay Mujhe Pyaray Hain Jo Main Unn Sabhi Rishto地 Se Khaa段f Hoon Unhain Her Aik Se Her Pal, Gilay Shikway He Rehtay Hain Anaa Ki Jaal Mein Jakray Huay Logon Se Khaa段f Hoon Kuduurat Dil Main Hai To Phir Kisi Pal Waar Ker Dain Ge Naqaab-E-Dosti Daalay Huay Chehro地 Se Khaa段f Hoon Ye Maana Mainay Jazba檀aye Dil Anmol Hotay Hain Magar Bay知ol Jo Ker Dain Main Unn Jazbo地 Se Khaa段f Hoon Bikher Jaye Koi To Phir Samaita Jaa Nahi Sakta Mujhe Jo Muntashir Ker Dain Unhi Socho地 Se Khaa段f Hoon Zamanay Bhar Main Meray Dard Ki Tash檀eer Ker Dain Gay Main Gham談huaro地 Se, Humdardi Se, Humraazo地 Se Khaa段f Hoon Mujhe Bay壇ast-O-Paa Ker Ke Kaheen Aagay Na Barh Jayen Main Apni Zindagi Ke Bhagtay Lamhon Se Khaa段f Hoon Mujhe Bay団hargi Se Bay鍛asi Se Khauf Aata Hai Saharay Ke Leay Phailay Huay Haathon Se Khaa段f Hoon Jo Hasrat Main Badal Ker Zindagi Ka Rog Ban Jayen Main Aisi Khuahisho地 Aise Tamana弛n Se Khaa段f Hoon Ye Panjay Gaar Dain Jis Jaa, Wahan Kuch Bhi Nahi Rehta Main Apne Chaar痴oo Phailee Hui Rasmo地 Se Khaa段f Hoon |