
03-27-2008, 06:32 PM
|
 | Star Members | | Join Date: Sep 2007
Posts: 1,241
Thanks: 119
Thanked 350 Times in 321 Posts
Rep Power: 172 | |
Dil hijir kay dard say bojhal haii | | Dil hijir kay dard se bojhal haii...... Dil hijir kay dard se bojhal hai,ab aan milo tu behtar hai Is baat say hum ko kiya matlab, yeh kaisay ho yeh kyun kar ho Ek bheeg kay doono kaasay hain ,ek piyaas kay doono piyasay hain Hum khaiti hain, tum baadal ho,hum nadiiya hain tum saagar ho Yeh dil hai kay jaltay seenay mein,ek dard ka phoora allaar sa Na gupth rahay, na phooth behay,koi marhum koi nashtar ho Hum saanjh samay ki chaaya hain,tum charti raat ki chandarmaa Hum jatay hain ,tum aatay ho,phir mail ki surat kyun kar ho Ab husun ka rutba aalee hai,ab husun say sehra khali hai Chal basti mein banjara ban,chal nagri mein saudagar ho Ab INSHA JI ko bulana kiya,ab piyaar kay deep jalana kiya Jab dhoop aur chaaya ek se hoon,jab din aur raat barabar ho Woh raatein chaand kay saath gaien, woh batein chaand kay saath gaein Ab sukh kay sapnay kiya dekhein , jab dukh ka suraj sar par ho | |
|
|
|