It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa within the Ghazal forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa vo shaKhs ek shaam meN kitnaa badal gayaa ! kuch din to ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa vo shaKhs ek shaam meN kitnaa badal gayaa ! kuch din to meraa aks rahaa aaiine pe naqsh phir yuN hu’aa ke Khud meraa chehraa badal gayaa jab apne apne haal pe ham tum na rah sake to kyaa hu’aa jo hamse zamaanaa badal gayaa qadmoN tale jo ret bichii thii vo chal paRii us ne chuRaayaa haath to sehraa badal gayaa ko’ii bhii chiiz apnii jagah par nahiiN rahii jaate hi ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa ! ek sar-khushii kii mauj ne kaisaa kiyaa kamaal vo be-niyaaz, saare kaa saaraa badal gayaa uThTh kar chalaa gayaa ko’ii vaqfe ke darmiyaaN pardaa uThThaa to saaraa tamaashaa badal gayaa hairat se saare lafz use dekhte rahe baatoN meN apnii baat ko kaisaa badal gayaa kahne ko ek seh’n meN diivaar hii banii ghar kii fizaa, makaaN kaa naqshaa badal gayaa shaayed vafaa ke khel se uktaa gayaa thaa vo manzil ke paas aa ke jo rastaa badal gayaa qaayem kisii bhii haal pe duniyaa nahiiN rahii taa’biir kho gayii, kabhii sapnaa badal gayaa manzar kaa rang asl meN saayaa thaa rang kaa jis ne use jidhar se bhii dekhaa badal gayaa andar ke mausamoN kii Khabar us kii ho gayii us nau-bahaar-e-naaz kaa chehraa badal gayaa aaNkhoN meN jitne ashq the jugnuu se ban gaye vo muskuraayaa aur merii duniyaa badal gayaa apnii galii meN apnaa hii ghar dhhuNdhtee haiN log “Amjad” ye kaun shah’r kaa naqshaa badal gayaa |
|
#2
| |||||
| |||||
| apnii galii meN apnaa hii ghar dhhuNdhtee haiN log “Amjad” ye kaun shah’r kaa naqshaa badal gayaa khoobsurat intekhaab........... |
|
#3
| |||||
| |||||
| hairat se saare lafz use dekhte rahe baatoN meN apnii baat ko kaisaa badal gayaa khoobsurat sharing hey aapki @};-
__________________ Kuch Aansoo Kuch KhushiyaaN Dey Kar Taal Gaya Jeevan Ka Ik Aur Sunehra Saal Gaya ...!! Meri Zaat Zarra E Bey NishaaN Mera Ishq Naghma E Bey Nawa |
|
#4
| |||||
| |||||
| great............... ............
__________________ |
|
#5
| |||||
| |||||
| very beautiful words |
|
#6
| |||||
| |||||
| bahot khoobsurat.......... ... |
![]() |
| Bookmarks |
| Tags |
| aankhon, kaa, rang, baat, lahjaa, badal, gayaa |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| msg/sms | imaan85 | Gup Shup | 302 | 07-23-2008 07:39 AM |
| DiL Chahay Woh Koi Baat Karay....:) | Charagh-e-Shab | Nazam | 12 | 10-14-2007 08:31 AM |
| Aik Hi Baat Hai | nailahkb | Ghazal | 8 | 06-29-2007 06:33 AM |