It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Aankhon ka rang, baat ka lehjaa badal gaya within the Ghazal forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya kuch din to mera ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya kuch din to mera aks raha ayeena naqsh phir yoon huwa k khud mera chehra badal gaya jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay to kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya kadmon talay jo ret bichi thi woh chal pari us nay churaaya haath to sehra badal gaya koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya ik sarkhoshi ki moj nay kaisay kiya kamal wo be niaaz saara ka saara badal gaya uth kar chala gaya koi wakfay kay darmiaan parda utha to saara tamaasha badal gaya hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay baaton main apni baat ko kaisay badal gaya kehnay ko ik sehan main deewar hi bani ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh manzil kay paas aakay jo rasta hi badal gaya qayem kisi bhi haal pay dunyaa nahin rahi tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya manzar ka rang asal main saaya tha rang ka jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya andar kay mosaamon ki khabar us ko ho gayee us no bahaar naaz ka chehra badal gaya aankhon main jitnay ashaq thay jugnoo say ban gaye woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gayee apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log amjad yeh kon shehar ka naqsha badal gaya ^^^^----------------------------------^^^^^ |
|
#2
| |||||
| |||||
| Wah bOhet KhOob La-Jawaab Intekhaab
__________________ ![]() |
|
#5
| |||||
| |||||
| very nice... thanx for sharing
__________________ ![]() |
|
#7
| |||||
| |||||
| wah janab bht khoooooooooooooob
__________________ Q CHUPKE SE UTER JATE HAIN WOH LOG DIL MAIN, JIN LOGO SE QISMAT K SITARE NHI MILTE |
![]() |
| Bookmarks |
| Tags |
| aankhon, rang, baat, lehjaa, badal |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| DiL Chahay Woh Koi Baat Karay....:) | Charagh-e-Shab | Nazam | 12 | 10-14-2007 08:31 AM |
| aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa | ali syed | Ghazal | 5 | 07-11-2007 06:01 AM |
| Aik Hi Baat Hai | nailahkb | Ghazal | 8 | 06-29-2007 06:33 AM |
| Raye shumari baraye muqabila maah-e-june 2007 | Pehli``Barish | Urdu Writer's Club | 7 | 06-25-2007 09:10 AM |
| Kirchiyo'n Say Kasheed Kartay Hai'n Khushiya'n | Haya n | Haya n | 7 | 06-06-2007 07:34 PM |