It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya within the Ghazal forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya kuch din to mera ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [1] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya kuch din to mera aks raha ayeena naqsh phir yoon huwa k khud mera chehra badal gaya jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay to kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya kadmon talay jo ret bichi thi woh chal pari us nay churaaya haath to sehra badal gaya koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya ik sarkhoshi ki moj nay kaisay kiya kamal wo be niaaz saara ka saara badal gaya uth kar chala gaya koi wakfay kay darmiaan parda utha to saara tamaasha badal gaya hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay baaton main apni baat ko kaisay badal gaya kehnay ko ik sehan main deewar hi bani ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh manzil kay paas aakay jo rasta hi badal gaya qayem kisi bhi haal pay dunyaa nahin rahi tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya manzar ka rang asal main saaya tha rang ka jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya andar kay mosaamon ki khabar us ko ho gayee us no bahaar naaz ka chehra badal gaya aankhon main jitnay ashaq thay jugnoo say ban gaye woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gayee apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log amjad yeh kon shehar ka naqsha badal gaya @};- @};- @};- @};- @};- @};-
__________________ |
|
#2
| |||||
| |||||
| wah eiman chanda very nice sharing keep share gurya khush rahoo ![]() |
|
#3
| |||||
| |||||
| thankssssss janu /yhug |
|
#4
| |||||
| |||||
| ur always welcome eiman khush rahoo |
|
#5
| |||||
| |||||
| /aoa shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh manzil kay paas aakay jo rasta hi badal gaya bohat khoob ji @};- Last edited by 'syed'; 02-09-2005 at 01:53 PM. |
|
#6
| |||||
| |||||
| Quote:
very nice.jee. always be happy... ......
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |
|
#7
| |||||
| |||||
| Shukriya Pasand Karnay ka /thanku |
|
#8
| |||||
| |||||
| /clap5 WAH WAH KIA KEHNAY AAP TO CHUPI RUSTAM HAIN |