View Single Post
  #1  
Old 02-09-2004, 11:43 AM
MIZZ_HYP3r's Avatar
MIZZ_HYP3r
Guest
 
Posts: n/a

Tutorials:

Default Aankh se tum gira na do



Merey mohsinon merey doston... mujhay zindagi ki Dua na do...
main to pyaar kay qaabil nahin... mujhay dill mai itnee jagah na do...

mujhay shauque-e-zeest na raha... mujhay zindagi nay deeya hai kya...
main muroon yeh mujko haque to hai... main jeeyoon yeh mujko sazaa na do...

woh banay thay meraey jo humsafar... wohi chal deeye mujay chor keh...
main jahan say aayee hoon ghamzada... mujhay phir waheen say sadaa na do...

iss zindagi ki shaam ka... mujhay dar tha iss anjaam ka...
mujhay aik ansoo ki tarah kaheen... aankh se tum giraa na do...

iss dayaar mai ik saya-e- diwaar main...
main jo so gayee hoon... chain se mujhay... neend say phir jaga na do...
Reply With Quote