Kabhi Khamosh Baythogay,,,Kabhi | | Kabhi khamosh baithogay, kabhi kuch gunn gunaogay
may utna yaad aaonga, mujhay jitna bhulaoogay
koi jab pooch baythay ga khamoshi ka sabaab tum say
bohat samjhaana chahogay magar samjha na paaogay
may utna yaad aaonga mujhay jitna bhulaoogay
Kabhi khamosh baithogay, kabhi kuch gunn gunaogay
kabhi duniya mukamal bann k ayeegii nigahoon may
kabhi meri kami duniya ki her ik shey may paogay
may utna yaad aaonga mujhay jitna bhulaogay
Kabhi khamosh baithogay, kabhi kuch gunn gunaogay
kaheen per bhi rahayn hum tum mohabat phir mohabat hay
tumhay hum yaad ayengay, humayn tum yaad aaogay
Kabhi khamosh baithogay, kabhi kuch gunn gunaogay
may utna yaad aaonga, mujhay jitna bhulaoogay |