<!--QuoteBegin-Iqra

ec 20 2003, 04:50 AM--></div><table border='0' align='center' width='95%' cellpadding='3' cellspacing='1'><tr> <td>
QUOTE (Iqra @ Dec 20 2003, 04:50 AM)</td></tr><tr><td id='QUOTE'><!--QuoteEBegin--> <center>
Khushboo Huay Gulaab Say Aagay Nikal Gaye
Tum Say Milay To Khuwab Say Aagay Nikal Gaye
Chlatay Thay Neend Mein Bhi Jo Maahtaab Ki Tarah
Jagay To Maahtaab Say Aagay Nikal Gaye
Maanga Jawab Us Nay Jab Apnay Sawal Ka
Chup Rah Kay Hum Jawab Say Aagay Nikal Gaye
Phir Ye Huaa Kay Shub Dhalay Baarish Kay Shor Mein
Baadal Had-e-Hisaab Say Aagay Nikal Gaye
Paabund Kar Saka Koi Pahera , Na Moj Ko
Darya Kinaar-e-Aab Say Aagay Nikal Gaye
Is Baar Dasht-e-Ishq Mein Kuch Tashangaan-e-Ishq
Sahraon Kay Saraab Say Aagay Nikal Gaye
Roohi Hum Aap Apnay Muqaabil Huay To Phir
Khud Apni Hi Kitaab Say Aagay Nikal Gaye</center> [/b][/quote]
