Daryaa-e-Mohabbat | | tabeer jo mill jaati to ik khuwab bohat tha
jo shakhs ganwa baitha hoon naayaab bohat tha
tum nay yun hi zehmat main uthha rakhhi hai nafrat
uss kay liye to halqa-e-ehbaab bohat tha
gull-rang zara aankh mila mairay junoon say
tairi hi tarha main kabhi shaadaab bohat tha
bay-gharr main hua jiss kay liye kitnay gharron say
khull jaata agar mujh pay to ik baab bohat tha
soya hoon teh-e-khaak to hairat tumhain kaisi
muddat say main kam khuwabi main gharkaab bohat tha
ik ham thay kay samandarr say bhi khaaif na huye thay
ik wo thay kay jinn kay liye taalaab bohat tha
main kaisay bacha laita bhala kashti-e-dill ko
daryaa-e-mohabbat main hi sailaab bohat tha |