kaheeN chaaNd rahooN meiN kho gya, kaheeN chaandni bhi bhaTak gayee
meiN chiraaGh woh bhi bujha hua, meree raat kaisay chamak gayee
meree daastaaN ka urooj tha, teree narm palkooN ki chaoN meiN
meray saath tha tujhay jaagna, teree aaNkh kaisay chapak gayee
kabhi ham mila to bhi kia milay, wohi dooriaaN wohi faaslay
na kabhi hamaray qadam baRhay, na kabhi tumhaary jhijak gayee
tujhay bhool janay ki kooshishaiN, kabhi kaamyaab na ho sakeeN
teree yaad shaaKh-e-gulaab hay, jo hawa chalee to lashak gayee |