View Single Post
  #35  
Old 12-19-2003, 11:00 PM
Frozen Tears's Avatar
Frozen Tears
Guest
 
Posts: n/a

Tutorials:

Default

meree zindagy bhi meree nahiN, ya hazaar KhanooN meiN baT gayee
mujhay aik muTThe zameen day, ya zameen kitny simaT gayee

teree yaad aaye tu chup rahooN, zara chup rahooN tu Ghazal kahoooN
ye 'ajeeb aag ki beil the, meray tan.ba.dan say lipaT gayee

mujhay likhnay wala likhay bhi kia, mujhay paRhnay wala, paRhay bhi kia
jahaaN tera naam likha gya, waheeN rooshnaye ulaT gayee

na koi KHushee na malaal hay, kah sabhi ka aik sa haal hay
teray sukh kay din bhi guzar gaye, meree Gham ki raat bhi kaT gayee

meree band palkooN pay TooT ker, koi phool raat bikher gya
mujhay siskiuN nay jaga dya, meree kachee neeNd uchaT gayee