<!--QuoteBegin-Frozen Tears

ec 19 2003, 01:50 AM--></div><table border='0' align='center' width='95%' cellpadding='3' cellspacing='1'><tr> <td>
QUOTE (Frozen Tears @ Dec 19 2003, 01:50 AM)</td></tr><tr><td id='QUOTE'><!--QuoteEBegin-->
abhi is taraf na nigah ker, maiN Ghazal ki palkaiN saNwaar looN
mera lafz lafz ho aayena, tujhay ainay meiN utaar looN
maiN tamaam din ka thaka hua, tu tmaam shab ka jga hua
zara Teher ja isi mooR per, teray saath shaam guzaar looN
agar aasmaaN ki numaishooN meiN, mujhay bhi izn-e-qyaam ho
to maiN motiuN ki dukaan say, teree baaliaN, teray haar looN
kaye ajnabi teree raah maiN, meray paas say yoooN guzar gaye
jinhaiN daikh ker ye taRap hoye, tera naam lay kay pukaar looN
ye hawa na jaanay kahaaN kahaaN bharee dhoop meiN liyea phiray
meray barg-e-dil zara Teher ja, tujhay aaNsooN meiN saNwaar looN
[/b][/quote]
waaaah !!!! Nabeel ... buhat khubsuret intekhaab hai ... main ne klabhi yeh ghazal nahi perhi thi
aur Nain ... tum ne ju share ki hai na wuh tao aafut hai
