koi phool dhoop ki pattiyon me hare ribon se bandha hua
woh ghazal ka lahja naya naya na kaha hua na suna hua
jise le gayi hai abhi hawa woh waraq tha dil ki kitab ka
kahin aanso'on se mita hua kahin aaso'on se likha hua
kai meel ret ko kaat ker koi mauj phool khila gayi
koi ped pyas se mar raha hai nadi ke paas khada hua
wohi khat ke jin pe jagah jagah do mahakte hoton ke chand the
kisi bhole bisre se taaq pe tah-e-gard hoga daba hua
mujhe haadson ne saja saja ke bahot haseen bana diya
mera dil bhi jaise dulhan ka hath ho menhdiyon se racha hua
wohi shahr hai wohi raaste wohi ghar hai aur wohi lawn bhi
magar is dareeche se poochna woh darakht anaar ka kya hua
mere saath jugnu hain humsafar magar is sharar ki bisat kya
yeh chiraagh koi chiraagh hai na jala hua na bujha hua |