:=: Ghazal :=: | | Dua karo k ye pauda sada hara hi lagay
Udasiyon say bhi chehra khila khila hi lagay
Ye chand taaron ka aanchal usi ka hissa hay
Koye jo dosra orhay to dosra hi lagay
Nahin hay meray muqaddar main roshni na sahi
Ye khirki kholo zara subha ki hawa hi lagay
Ajeeb shakhs hay naraaz ho k hansta hay
Main chahta hon Khafa ho to wo Khafa hi lagay |