barason ke baad dekhaa ik shaKhs dil rubaa saa | | Barson ke baad dekhaa ik shakhs dil rubaa saa
Ab zahan mein nahin hai par naam tha bhala saa
Abruu khiche khiche se aankhein jhuki jhuki si
Baatein ruki ruki si lahjaa thakaa thakaa saa
Alfaaz thay ke jugnuu aavaaz ke safar mein
Ban jaaye jangalon mein jis tarah raasta saa
Khvaabon mein Khvaab us ke yaadon mein yaad us ki
Niindon mein ghul gayaa ho jaise ke rat jagaa saa
Pahle bhii log aaye kitne hi zindagii mein
Vo har tarah se lekin auron se tha juda saa
Agli muhabbaton ne vo naa muraadiyaa diin
Taazaa rafaaqaton se dil thaa Dara Dara saa
Kuch ye ke muddaton se ham bhii nahin the roye
Kuch zahar mein bujha tha ahbaab kaa dilaasa
Phir yuun hua ke saavan aankhon mein aa base thay
Phir yuun hua ke jaise dil bhii tha aablaa saa
Ab sach kahein tho yaaro ham ko Khabar nahin thii
Ban jaayegaa qayaamat ik vaaqia zara saa
Tevar the berukhi ke andaaz dostii ke
Vo ajanabii thaa lekin lagata tha aashna saa
Ham dasht thay ke dariyaa, ham zahar thay ke amrit
Naahaq tha zonum ham ko jab vo nahin thaa pyaasaa
Ham ne bhi us ko dekha kal shaam ittefaaqan
Apnaa bhii haal hai ab logo 'Faraz' kaa saa
__________________ "Hum un se hat K chalthey hai jo rasthey aam ho jaaye"
Last edited by Bigb; 05-11-2008 at 02:09 AM.
|