Agar lazim hai to is tarha se juda ho jana | | Agar lazim hai to is tarha se juda ho jana Agar lazim hai to is tarha se juda ho jana
Tum hi munkir-e-ehad-e-wafa ho jana
Beech manjhdaar mein chor kay jana mujh ko
Tum kisi aur kahani ka sira ho jana
Shab kay sannatoon mein khayaal ban kay aanaa
Har aik raat merey waastey tum aik saza ho jana
Itna kamzoor bhi nahi kay kuch seh na sakoon
Gar chaho to kisi par bhi fida ho jana
Kabhi jo ghutney lagey dam mera tareekion mein
Ujala ban kay aanaa, tum baad-e-saba ho jana
Omar bhar RAB se use maangta rahoon Waris~
Uss se kehna kay tum saail ki sadaa ho jana
------------------------------------------------------------ |