View Single Post
  #1  
Old 05-10-2008, 03:06 PM
mehak shah's Avatar
mehak shah mehak shah is offline
Member
 
Join Date: Oct 2003
Location: uk
Age: 21
Posts: 91

Country:

Tutorials: 0

Thanks: 0
Thanked 1 Time in 1 Post
Nominated 0 Times in 0 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 342
mehak shah has a brilliant futuremehak shah has a brilliant futuremehak shah has a brilliant futuremehak shah has a brilliant futuremehak shah has a brilliant futuremehak shah has a brilliant futuremehak shah has a brilliant futuremehak shah has a brilliant futuremehak shah has a brilliant futuremehak shah has a brilliant futuremehak shah has a brilliant future
Post khusbo’on ki tarha meri har saans main

khusbo’on ki tarha meri har saans main
piyar apna basanay ka wada karo
ranng jitnay tumhari mohabbat kay hain
meray dil main sajanay ka wada karo......

hai tumhari wafaon pay mujko yakeen
phir bhi dil chahta hai meray dil nasheen
yoonhi meri tasali ki khatir zara
mujko apna bananay ka wada karo......

jab mohabbat ka iqrar kartay ho tum
dhadkanoon main naya rang bhartay ho tum
baarha kar chukay ho, magar aj phir
mujhko apna bananay ka wada karo......

sirf lafzoon say iqrar hota nahi
ik janib say hi piyar hota nahi
main tumhain yaad rakhnay ki khaon qasam
tum mujko na bhulanay ka wada karo......
__________________
Love, like a river, will cut a new path...whenever it meets an obstacle
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to mehak shah For This Useful Post:
Aisha Baig (05-10-2008)