~~Khabi Hota Hu Uddas~~ | | kabhi hota hun udaas tu yaad atey ho tum
kabhi hota hun buhat khush tu yaad atey ho tum
aghoosh mein zameen k soo jaonga ek din
jub sochta hun yeh baatein tu yaad atey ho tum
hamein acha nahi lagta koi humnaam tera
samne koi aye humnaan tu yaad atey ho tum
jin rahoon se guzre thy ham dono kabhii
ab guzarta hun tanha tu yaad atey ho tum
har achi buri baat samjhaya kartey thy mujhe
ab khata hun thokar tu yaad atey ho tum ....
.
__________________ |