>> Meri zindagi to firaq hai wo azal say dil mein makeen sahi << | |
Meri zindagi to firaq hai wo azal say dil mein makeen sahi
Wo nigah-e-shoq say dur hain, rag-e-jaan say laakh qareeb sahi
Gham-e-zindagi say farar kia, yeh sakun keon yeh qarar kia
Gham-e-zindagi bhi hai zindagi, jo nahi chain to nahi sahi
Hamain jaan deni hai aik din, wo kisi tarhan wo kahin sahi
Hamain aap khenchey daar par, jo nahi koi to hamein sahi
Sar-e-toor ho sar-e-hashr ho, hamain intazar qabool hai
Wo kabhi milain, wo kahin milain, wo kabhi sahi, wo kahin sahi
Na ho in pay jo mera bas nahi keh yeh ashiqi hai hawas nahi
Main unhi ka tha, main unhi ka hon wo meray nahi to nahi sahi
Jo ho faisla wo sunaey usay hashr pay na uthaey
Jo karain gay aap sitam wahan, wo abhi sahi wo yaheen sahi
Usay dekhnay ki jo lau lagi to naseer dekh he lain gay ham
Wo hazaar ankh say dur ho, wo hazaar parda nasheen sahi
__________________ Jaane kya Mujhse zamana chahta hai ,
mere dil tod kar mujhe hasana chahta hai
jaane kya baat jhalakti he mere chehre se
har saks mujhe aazmana chahta hai |