Is se pehle ke bewafaa ho jaayein | | Is se pehle ke bewafaa ho jaayein
Kiyon na ai dost, hum judaa ho jaayein
Tuu bhii hiire se ban gayaa patthar
Hum bhii kal kyaa se kyaa ho jaayein
Hum bhii majbooriyoon kaa uzr karein
Aur kahiin aur, mubtalaa ho jaayein
Ishq bhii khel hai nasiiboon kaa
Khaak ho jaayein, kimiyaa ho jaayein
Ab ke gar tuu mile toh hum tujh se
Aise liptein, terii qabaa ho jaayein
Bandagii hum ne chorr dii hai 'Faraz'
Kyaa karein, log jab khudaa ho jaayein
__________________ "Hum un se hat K chalthey hai jo rasthey aam ho jaaye" |