Ret Par Likh Ke Mera Naam Mitaayaa Na Karo | | Ret Par Likh Ke Mera Naam Mitaayaa Na Karo
Aankhein Sach Bolthi Hein Pyaar Chupayaa Na Karo
Log Har Baat Ka Afsaana Bana Lethe Hain
Sab Ko Haalaat Ki Rudaad Sunayaa Na Karo
Ye Zaroori Nahein Har Shakhs Masihaa Hi Ho
Pyaar Ke Zakhm Amaanat Hain Dikhayaa Na Karo
Shahar-e-ehsaas Mein Pattharaao Bahut Hain 'Mohsin'
Dil Ko Sheeshe Ke Jharonkon Mein Sajaayaa Na Karo
__________________ "Hum un se hat K chalthey hai jo rasthey aam ho jaaye" |