[[[ Ghazal ]]] | | Yon na mil mujhe say Khafa ho jaisay
Sath chal mauj-e-saba ho jaisay
Log yon dekh kar hans daitay hain
Tu mujhe bhool gaya ho jaisay
Ishq ko shirk ki had tak na barha
Yon na mil hum say Khuda ho jaisay
Maut bhi aai to is naaz k sath
Mujhe pe ehsaan kiya ho jaisay
Aaise anjaan banay bethay ho
Tum ko kuch bhi na pata ho jaisay
Hichkiyan raat ko aati hi rahin
Tu nay phir yaad kiya ho jaisay
Zindagi beet rahi hay "Danish"
Ek be-jurm saza ho jaisay |