labon pay harf na hkoi sawal rakhta tha
kabhi main zabt main intna kamal rkhta tha
khabar kahan thi mujhy wo bhool jay ga
ek ek cheez jo meri sambhal rkhta tha
bicharty waqt bazahir to kuch na bola tha
magr nigah main so so sawal rakhta tha
wo muskura kay boht dair chup sa raha
hansi ki ar main jaise malal rakhta tah
suna hai ab log usay boht sataty hain
jis aik shakhs ka main boht khayal rkhta tha