
05-02-2008, 06:52 AM
|
 | Pagli | | | Join Date: Dec 2007 Location: La Makaan Age: 26
Posts: 2,677
Country: Tutorials:
0 Thanks: 531
Thanked 433 Times in 307 Posts
Nominated 15 Times in 10 Posts TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 110 | |
Juda Hona Tha Mujh Ko | | Yahan sab se alag sab se juda hona tha mujh ko
Magar kiya ho gaya hoon aur kiya hona tha mujh ko
.
. Abhi ik lehr thi jiss ko guzarna tha saron se
Abhi ik lafz tha main aur adaa hona tha mujh ko
.
. Phir is ko dhoondnay mein umer sari beet jati
Koi apni hi ghum-gushta sada hona tha mujh ko
.
. Pasand aaya kissi ko mera aandhi ban k uthna
Kissi ki raaye mein baad-e-saba hona tha mujh ko
.
. Wahan se ab guzar aaya hoon khamoshi se ab k
Jahan ik shor ki surat bapaa hona tha mujh ko
.
. Dar-O-Deewaar se itni muhabbat kiss liye thi
Agar is qaid khanay se riha hona tha mujh ko
.
. Main apni raakh se bay shak dobara sar uthata
Magar ik baar tau jal kar fana hona tha mujh ko
.
. Main andar se kahin tabdeel hona chahata tha
Purani kainchli mein hi naya hona tha mujh ko
.
. ZAFAR, main ho gaya kuch aur,warna asal mein tau
Bura hona tha mujh ko,ya bhala hona tha mujh ko.........!!!  |