Aankhon main kis saraab k..... | | aankhon main kis saraab k manzar hain in dinon
hum hud e aitbaar se baahir hain in dinon bikhre huay hain shehar k raston pe misl e khaak
yaani hawa k rehm o karam pe hain in dinon baahir hi nahin nikalte mubaada malaal ho
hum is liye makaan k ander hain in dinon lab izn e guftugoo ko taraste hain aaj kal
ronay main donon aankhain samander hain in dinon nazaargi k zakhm hain aur rahguzaar e shehar
goya halaak rasm e sitamgar hain in dinon kiya or tum se khul k kahain apna haal e zaar
mayoosi or umeed barabar hain in dinon Written by Qazi Muhammad Akhter Junagarhi
__________________ |