
04-16-2008, 01:36 PM
|
.gif) | ****Janasheen**** | | | Join Date: Nov 2007 Location: Gumshudaa...
Posts: 2,062
Country: Tutorials:
0 My Mood: Thanks: 565
Thanked 329 Times in 283 Posts
Nominated 1 Time in 1 Post TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 644 | |
@<><Dost Ban Kar Bhi><>@ | | Dost Ban Kar Bhi Nahin Saath Nibhaanevaala dost ban kar bhi nahin saath nibhaanevaala
vahi andaaz hai zaalim kaa zamaanevaala
*
*
ab ise log samajhate hain giraftaar mera
saKht nadeem hai mujhe daam mein laanevaala
*
*
kya kahein kitane maraasim the hamaare is se
wo jo ik shaKhs hai muunh pher ke jaanevaala
*
*
tere hote hue aa jaati thi saari duniya
aaj tanha hoon to ko_ii nahiin aanevaala
*
*
muntazir kis ka hoon Tuuti hu_ii dahaleez pe main
kaun aayega yahaan kaun hai aanevaala
*
*
main ne dekha hai bahaaron mein chaman ko jalate
hai ko_ii Khvaab ki taabeer bataanevaala
*
*
kya Khabar thi jo meri jaan mein ghula hai itna
hai vahi mujh ko sar-e-daar bhi laane vaala
*
*
tum taqalluf ko bhi iKhalaas samajhate ho 'Faraz'
dost hotaa nahin har haath milaanevaala </pre>
</pre> |