log jal jaayenge suuraj kii tamannaa na karo | | waqt kaa kyaa hai kisii pal bhii badal saktaa hai
ho sake tum se to tum mujh pe bharosaa na karo kirchiyaaN TuuTe hue aks kii chubh jaayengii
aur kuchh roz abhii aaiinaa dekhaa na karo ajanabii lagane lage Khud tumhen apnaa hii vajuud
apane din raat ko itanaa bhii akelaa na karo Khawaab bachchon ke khilaunon kii tarah hote hain
Khvaab dekhaa na karo Khvaab dikhaayaa na karo beKhayaalii men kabhii uNgaliyaaN jal jaayengii
raakh guzare hue lamhon kii kuredaa na karo mom ke rishte hain garmii se pighal jaayenge
dhuup ke shahar men "Aazer ye tamaashaa na karo
__________________
kon kehta hy k aadmi apni kismat khud likhta hy
agar yeh sach hy tu kismat mein dard kon likta hy |