Tum itanaa jo muskuraa rahe ho
<HR style="COLOR: #ffffff" SIZE=1>
<!-- / icon and title --><!-- message -->
Tum itanaa jo muskuraa rahe ho
kyaa Gam hai jisako chhupaa rahe ho
tum itanaa...
aa.Nkho.n me.n namii ha.Nsii labo.n par
kyaa haal hai kyaa dikhaa rahe ho
kyaa Gam hai...
ban jaaye.nge zahar piite piite
ye ashq jo piite jaa rahe ho
kyaa Gam hai...
waqt jin zakhmo.N ko bhar chalaa hai
tum kyo.N u.Nhai.N chhede jaa rahe ho
kyaa Gam hai...
rekhaao.n kaa khel hai muqaddar
rekhaao.n se maat khaa rahe ho
<!-- / message -->