| Quote: | |  | |
| Aye dil tujhay ab unsay yeh kaisi shiqayat hai Woh samnay bethay hain kafi yeh inayat hai Mat dekh unhain aye dil is tarha muhabat say Afsana bana lain gay logon ki to aadat hai Gulshan say juda ho kar phulun nay yeh jana hai Is dunya main hasnay ki kitni bari qeemat hai Shama mere jalnay par ek rooz pash e maan ho Parwanay kay seenay main is baat ki hasrat hai Taqdeer say jab poocha lutnay ka sabab kya hai Hans kar kaha deewanay yeh dil ki shararat hai | |
| | |
buhat achaa.........khoosh rahen