Aye dil tujhay ab unsay yeh kaisi shiqayat hai
Woh samnay bethay hain kafi yeh inayat hai
Mat dekh unhain aye dil is tarha muhabat say
Afsana bana lain gay logon ki to aadat hai
Gulshan say juda ho kar phulun nay yeh jana hai
Is dunya main hasnay ki kitni bari qeemat hai
Shama mere jalnay par ek rooz pash e maan ho
Parwanay kay seenay main is baat ki hasrat hai
Taqdeer say jab poocha lutnay ka sabab kya hai
Hans kar kaha deewanay yeh dil ki shararat hai