Aankhain jab band kia kartay hain | | aankhain jab band kia kartay hain
samnay aap he hoa kartay hain
aap jaisa he mujhe lagta hai
khuwab main jis say mila kartay hain
to agar chor kar jata bhe hai tou kia?
hadsay roz hoa kartay hain
naam un ka,na koi un ka pata
log jo dil main raha kartay hain
hum nay rahi ka chalan seekh lia
hum akailay he chala karatay hain |