Tum Funkaar Ho Jaao | | Mujhe yeh zid nahin k mere galay ka haar ho jaao
Akaila chhorr dena tum jahan baizaar ho jaao
.
.
Buhat jaldi samajh mein aanay lagay ho zamanay ki
Buhat aasaan ho thorray buhat dushwaar ho jaao
.
.
Mulaqaton mein wafa is liye hona zaroori hai
K tum ik din judai k liye tayyaar ho jaao
.
.
Main akaila chilchilaati dhoopp k sehra se aaya hoon
Bas ab aisa karo tum saaya-e-deewaar ho jaao
.
.
Tumharay pass dainay k liye jitni tasalli ho
Na aaye aisa din tum is qadar naadaar ho jaao
.
.
Tumhain maaloom ho jaaye ga kaisay ranj sehtay hain
Meri itni dua hai kash tum funkaar ho jaao....!!!! |