chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN | | badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN ke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN tujhii pe Khatm hai jaanaaN mire zavaal kii raat tuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne ko to aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN maiN Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekh havaa-e-taazaa! tire saath chal rahaa huuN maiN maiN Khvaab dekh rahaa huuN ke vo pukaartaa hai, aur apne jism se baahar nikal rahaa huuN maiN |