Kyun dil maira uska talabgaar tha | | Muddat se jis ke waaste Dil be qaraar tha
Woh laut kar na aaya magar intezaar tha
Jo humsafar tha chorr gaya raah main mujhe
Main phans gaya bhanwar main woh darya ke paar tha
Manzil qareeb aayi to tum door hogaye
Itna to tum batao ke yeh kaisa Pyaar tha
Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan
Na woh sakoon se betha na mujh ko qaraar tha
Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat
ke waqt ka Ankhon main aansu aur
Dil beqaraar tha Yeh baat umer bhar samjh na
paaya main Kyun Dil mera us ka talabgaar tha
__________________ |