kaa.NTo.n kii chubhan pa_ii phuulo.n kaa mazaa bhii | | kaa.NTo.n kii chubhan pa_ii phuulo.n kaa mazaa bhii dil dard ke mausam me.n royaa bhii ha.Nsaa bhii aane kaa sabab yaad na jaane kii Khabar hai vo dil me.n rahaa aur use to.D gayaa bhii har ek se manzil kaa pataa puuchh rahaa hai gum_raah mere saath huaa rah_numaa bhii Gumnaam kabhii apano.n se jo Gam huye haasil kuchh yaad rahe un me.n kuchh bhuul gayaa bhii |