Log Mausam Ki Tarha Kaise Badal Jate Hain | | Usay Milnay ko kabhi hum jo Machal jatay hain...
To Kheyalo'n may Bohat Dour Nikal jatay hain....
Gar Wafaoo'n May Sadaqat bhi ho Shidat bhi...
Phir to Ehsas say Pathar bhi Pighal jatay hain...
Uss ki Ankhoo'n k Nashay may Ho'n Jub say Doba...
Larkharatay Hain Qadam aur Sambhal jatay hain...
Bewafai ka Mujhay jab bhi kheyal ata hai...
Ashh rukhsar pay Ankho'n say Phisal jatay hain....
Pyar may Ik hi Mausam hai Baharoo'n ka FARAZ.....
Loog Mausam ki tarhaan kaisay Badal jatay hain....
__________________ |