Udaas logo !
ujaR AankhoN key aieney tauR do ké in mey
na koi aks nigar hasti
na koi basti hi basa sako gey
bas ik mata'é hayat baqi hai ab jisey tum
gan'wa sako gey
to iss sey pehley ké saan's ki Dori TooT jayé
hawa ki hatheyli sey
khushbu'oN ka har ik rishta hi TooT jayé
kiran kawaRoN ko band ker key
ujaR khawaboN ki rah guzar ka ghubaar AankhoN mey bhar key
her soo hawa key hathoN bikhar bikhar key
khud apney ander key dukh ki matti mey kho bhi jao !
hawa ye kehti hai so bhi jao
udaas rut
inteyzaar mausam
kabhi kisi key na ho sakeiN gey
udaas logo